Roze ki Halt me Zina Karna

By Abdullah

Sawal

Join Whatsapp Group Join NOW

Ak Shakhs Ne Roza Ki Halat Mein Zina Kya To Roza Torne Ka Kaffara Kaisay Aada Kiya Jaye Ga..?

Jawab:

“ZINA” intehai Qabeeh Feal aur Bad-Tareen Gunah Hai,

“Kanz-ul-amal” Mein Hai ke Shirk Karne Ke Baad Allah ke Nazdeek koi Gunah is Nutfe se Bura nahi jis ko Aadmi us Sharam Gaah Mein Rakhta hai Jo is Ke Liye Halal Nahi Hai.
 ( Kanz-ul-amal ( 5 / 314, Raqam Al-Hadith 12994. الباب الثانی فی انواع الحدود ، ط: موسسہ الرسالۃ)

Aur Rozay Ki Haalat Mein Is Gunah Ki Shiddat Mazeed Barh Jaye Gi,

Aur Ramadaan Al Mubarak Mein Jaisay Naik Aamaal Ka Sawab Barh Jata Hai, Isi Terhan Gunaaho Ki Qabahat وشناعت Bhi Mazeed Barh Jati Hai,

Lehaza Agar Kisi Shakhs Ne Ramazaan Mein Rozay Ki Haalat Mein Zina Kya To Is Se Bohat Bara Gunaah Sarzad Howa hai, Is Shakhs Par Sadaq Dil Se Tauba O Astaghfar Karna Lazim Hai .

Baqi Roza Tornay Ka Kaffara Is Waqt Hota Hai Jab Ramadaan Al Mubarak Ka Wo Rakha howa Roza Kisi Sharai wajah Ke Baghair Toor Diya Jaye, Jis roze Ki Niyat Subah Sadiq Se Pehlay Ki Ho. Is Ke Ilawa (Shari Uzzar Wajah se) Roza Tornay Ki Soorat Mein Kaffara Lazim Nahi Hota, Balkay Sirf Rozay Ki Qaza Lazim Hoti Hai..

Aur Roza Tornay Ka Kaffara Yeh Hai Ke Aik Roza Tornay Ke Badlay Musalsl Bager koi dn chuohre 60 Rozay Rakhay,

Darmiyan Mein Aik Din Bhi Roza Chore Diya To Dubara Phr Pichy se 60 Rozay Rakhnay Hon Ge, Agar 60 Rozay Rakhnay Ki Taaqat Nahi Ho To 60 Miskeeno Ko 2 Waqt Ka Pait Bhar Kar Khana Khilana Wajib Hoga,

Jawan Sehat Mand Aadmi Ke Liye Kaffare Mein Rozay Chore Kar Maskeen Ko Khana Khilanay Se Kaffara Ada Nahi Hoga. Mazeed, Kaffara Ke Ilawa Jo Roza Tora Hai, Is Ki Qaza Bhi Karni Hogi.

Dalail: Fatawa Shami (Book) Me Hai:

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144203201125
Date: 07-11-2020