Kamyaab Shadi Shuda Zindagi Ke Liye Dua

By Abdullah

Table of Contents

Sawal:

Join Whatsapp Group Join NOW

Mufti Sahib Aap Sab Logon Ki Duaon Se Meri Shadi Hui. Mere Shohar Kaafi Achay Hain. Mere Liye Allah Se Dua Kijiyej Ke Allah Meri Pareshani Ko Jald Se Jald Dour Kardey.

Mufti Sahib Aik Aap Sirf Pehlay Insaan Hain Jn Se Mein Apni Pareshani Ka Zikar Kar Rahi Hon Kyun Ke Mein Ne Apni Koi Bhi Pareshani Apni Ammi Ko Bhi Nahi Batayi,

Bas Allah Se Dua Kar Rahi Hon Aur Aap Se Kuch Duayin Parhnay Ky Liye Pooch Rahi Hon Jis Se Meri New Shadi Shuda Zindagi Mein Allah Ki Rehmat Se Khusihyan Ajayeen.

Mufti Sahib Mere Shohar Se Shadi Ke 8 Din Tak To Theek Se Jamaa Hambistri Hoi, Par Ab Un Se Ho Hi Nahi Paa Rha Hai.

Woh Aaj Aik Mashhoor Hakeem Ko Dikhaane Gaye Hain. Mein Yeh Baat Kisi Ko Nahi Bata Pa Rahi Hon Aur Nah Hi Batana Chahti Hon.

Mein Un Se Bohat Pyar Karti Hon Woh Meri Zindagi Hain.

Un Ke Sath Shadi Ke Kuch Mahino Pehlay Un Ka Poora Kaarobar Khatam Hogaya Hai. Kya Karen Bohat Pareshan Hain, Mein Bhi Aik Sarkari Office Mein Private Nokari Kar Rahi Hon.

Abhi Hamari Shadi Ko Aik Maheena Bhi Nahi Howa Hai. Aap Allah Se Hamaray Liye Dua Kardene, Mujhe Aur Mere Shohar Ko Kuch Parhnay Ko Btadijye. Aap Jesa Kahen Ge Hum Log Isi Terhan Parheen Ge.

Mein Bohat Pareshan Hon, Kuch Acha Nahi Lagta Mein Kya Karoon, Mere Liye Dua Krdijye.

Mujhe Is Ka Jawab Jald Se Jald Day Dijiye Mein Bohat Pareshan Hon Aap Ki Shukar Guzaar Rahon Gi. Meri Shadi Shuda Zindagi Mein Allah Pak Khusihyan Aata Farma Den.

Jawab:

Bismillah Hir’rahman Nir’rahim,

Allah Pak Khush Gawaar Zindagi Ataa Farmaiye, Tamam مکارہ Se Mehfooz Rakhay, Saadat Darain Se Nawaze. Aammen

 رَبَّنَا ہَبْ لَنَا مِنْ اَزْوَاجِنَا وَذُرِّیّٰتِنَا قُرَّةَ اَعْیُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِیْنَ اِمَامًا
(Parah 19 – Surah Al-FurQan)
.اِنَّہ عَلٰی رَجْعِہ لَقَادِرٌ
(Parah 30 – Surah Al-TariQ)

Awwal O Aakhir Duroood Shareef 11-11 Dafaa Aur Un Dono Ayaat Mubarikah Ko 11-11 Martaba Har Namaz Ke Baad Aur Sonay Se Qabal Ba Wudu Hokar Ihtimaam Se Parha Karen,

Yahi Amal Apne Shohar Ko Bhi Batla Den. Allah Taala Tamam Khusihyan Ba’sahuolt O Aafiat Ataa Farmaiye. Ameeen

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa No
: 1391=1393