Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
Kisi ne Jadeed feqhi masail ke hawalay se fatwa diya he ke jo be’Aulad hain un ke liye apni biwi ke Rahm mein test tube ke zareya manni daalna jaaiz hai,
is ne fatawa-Nizamiya ka bhi hawala dia hai. baarah-e-karam, is muamlay mein qabil-e-qubool fatwa den.
Jawab:
Bismillah’hir’rahman’nir’raheem
Muntakhabat nizam ul fatwa J/1 Page/339, par is tareeqa ke baray mein likha hai ke yeh tareeqa Tibah Saleem ke khilaaf, mizaaj شرع و شارع علیہ السلام ke khilaaf intehai be sharmi par mushtamil hai aur الحیاء شبعة من الإیمان ke bhi khilaaf hai .
is liye is ko apnaana intehai be hmeti aur hudood sharra se tajawaz aur be sharmi hogi. aur sharran iztarar hai nahi, is liye ijazat nahi hogi .
yeh to is soorat ka hukum likha hai jab shohar hi ka madah munawiaha(manni) is ki biwi ke raham mein ba’zarea injunction daakhil kiya gaya ho.
aur agar Ajnabi aurat ke raham mein is ke shohar ke ilawa kisi aur mard ki manni punchai gai ho to woh aurat aqal-e-Saleem ke nazdeek tawaif se bhi ziyada fahisha qarar paye gi .
poora jawab Asal kitaab ke Jild/1 page/339 par mulahiza kiya ja sakta hai. yeh Fatwa mustand hai. aap is silsila mein kya janna chahtay hain?
is Fatwa mein saaf likha hai. ijazat nahi hogi .
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 632/ د= 617/ د