Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
Main yeh janna chahti hon ke mein apne shohar ke sath akeli rehti hon aur aik beta hai, mein ramadaan al mubarak mein aitekaf karna chahti hon, kya mein aitekaf ki niyat kar sakti hon? aur is ke sath sath zikar jari rakhtay howe ghar ke kaam, aur shohar ki khidmat kar sakti hon ?
Jawab:
Bismillah’hir’rahman’nir’raheem
Ramzan al mubarak ke aakhri ashra ka aitekaf sunnat-mokadda-aalal-kafaya hai, aurat bhi yeh masnoon aitekaf kar sakti hai, aur aitekaf ki fazeelat se faida utha sakti hai, aitekaf ki fazeelat sirf mardon ke liye khaas nahi ,
Ummul Momineen (Azwaj e Mutahirat) ne Aap sallallaho alaihe wasallam ke sath or Aap sallallaho alaihe wasallam ke bad aitekaf keya hai.
is ka tariqa yeh hai ke ghar mein jis jagah namaz parhati hai, agar woh mutayyan hai to is jagah ko, or agr koi jagah mutayyan na ho to koi aur jagah munasib hoto is ko makhsuos kar ky wahn 10 dn sunnat aetikaf ki niyat kar kay ibaadat main masruof hojayen, or sawaye hajjat e tabiya o sharia kay us jagga say na uthen, agar ap aetikaf karna chahen tu is tuor par kar sakti hain.
aur aap jis room (kamre) mein aetikaf kar rahi hon isi room (kamre) mein ghar ke kam waghera karlen, khana waghera tayyar kr den to is se bhi aetikaf fasid nahi hoga, Al’bata shohar ya larke ki khidmat waghera ke liye is room (kamre) se bahar jayen gi to aetkaf fasid hojaye ga .
والمرأة تعتکفُ في مسجد بیتہا فتلک الْبُقْعَةُ في حقِّہا کمسجدِ الجماعةِ في حقِّ الرجل، لاتخرج منہ إلا لحاجةِ الإنسان․ (الھندیة :۱/۲۱۱)
وحرُمَ علیہ الخروجُ الخ․(تنویر الأبصار ) وفي الشَّامِي: أي مِنْ مُعْتَکَفِہ ولو مسجدَ البیت في حقِّ المرأةِ،فلو خرجتْ منہ ولو إلی بیتہا بطل اعتکافُہا لوواجباً، وانتہیٰ لونفلاً․ (شامي:۳/۴۳۴،۴۳۵)
ولا تخرج المرأة من مسجدِ بیتہا، إلی المنزل․ (الہندیة:۱/۲۱۲)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 995-762/L=8/1443