Maa ki narazgi se bachne ke liye qaza rozay rakh kar toorna kaisa hai?

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

unwan: Maa ki narazgi se bachne ke liye qaza rozay rakh kar toorna kaisa hai?

Sawal:

Agar koi qaza rozay rakhe lekin maan agar kahe ke nahin rakhna kyunke kamzori hogi to kya maan se chhup kar rozay rakhe aur agar maan puochhe ke roza hai to aisi sorat mein narazgi se bachne ke liye iftar kar le,

aise hi rozana qaza rozay rakhe agar mauqa mile to puora kar le aur agar maa puochh le to narazgi se bachne ke liye iftar kar le, aisi sorat mein kya rozay iftar karne par gunaah hoga?

Jawab:

Qaza rozay rakh kar phir toora na karein, maa naraz hoti hain to hikmat, narmi aur shaaistagi ke saath un ko mana lein, lagatar qaza rozay rakhne ke bajaay naaa’gah kar ke rakha lein, taa’key waledah ko ziyada ehsaas na ho. Yani bech main kuch dn ka gap kar ke roza rakh len.

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 
984-803/M=12/1442