Teyammam ka tareeqa or ghusl farz honay ki soorat mein teamam kaise kya jaye?

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Teyammam mein kya sirf chehra aur baazu ko hi masah karne se paaki ho jaye gi? Agar ghusl farz ho to phir Teyammam kaise karein aur paakiza kaise ho?

Jawab:

Jab kisi shakhs ko apnay aaray-girday kam az kam 1 meel faslay tak pani na milay ya pani mojood honay ki soorat mein bimari ho jany ya marz kay barh janay ka andisha ho to teamam karna jaiz hai,

aur Teyammam ka tareeqa yeh hai kay:

paaki ki niyat kar kay pehlay aik bar donon haath mitti par maar kar unhein jhaar dein, phir unhein saray muoh par pher’day, isi tarah dosri bar donon haathon ko mitti par maar kay unhein haathon tak is tarah mill lein kay koi jagah baqi na reh jaye, iss say paaki hasil ho jaye gi.

mazeed, wazu aur ghusl dono soraton mein pani na milnay ya istemaal par qadir na honay ki bina par teamam ka yehi tareeqa hai.

Mafhom e Hadees pak:

Hazrat Umran radiyallahu anhu say riwayat hai kay hum safar mein Rasool Allah ﷺ kay sath thay, aap ﷺ nay logon ko namaz parhaya, jab aap ﷺ namaz say farigh ho kar uthay to aap ﷺ nay dekha aik shakhs aik taraf alehda khaday hain aur unhon nay logon kay sath namaz nahi parhi, aap ﷺ nay farmaya: aye flaan! aap ko kis chez nay logon kay sath namaz ada karnay say roka? iss nay arz kiya: mujhay janabat (ghusl ki hajat) lahaq ho gai hai aur pani mojood nahi hai. aap ﷺ nay farmaya: tum paak mitti say teamam kar lo, yeh aap kay liye kafi hai. (Bukhari aur Muslim)”

Hazrat Ammar (RA) se riwayat hai ke ek shakhs Hazrat Umar bin Khattab (RA) ke paas aaya aur kaha: Mujhe janabat lahaq ho gayi hai aur maine paani nahi paaya, (yaani ab main kya karoon?)
Hazrat Ammar (RA) ne Hazrat Umar (RA) se farmaya: Kya aapko yaad nahi hai ke hum ek safar mein sath thay, main aur aap, (aur hum dono ko ghusl ki hajat hui to) jahan tak aap ki baat hai, aap ne namaz ada nahi ki thi (kyun ke yeh hukm abhi maloom nahi tha ke ghusl-e-janabat ke liye paani na ho to wuzu wala tayammum kafi hoga?) aur jahan tak meri (Ammar ki) baat hai to maine mitti mein lot-pot hokar (yaani yeh samajh kar ke ghusl-e-janabat ki jagah tayammum ka tareeqa yahi hoga ke poore jism par mitti lagai jaye) namaz ada karli thi,
phir maine Rasool Allah ﷺ se is ka zikr kiya to aap ﷺ ne farmaya: Aap ke liye itna hi kaafi tha aur (ye irshad farmakar) Rasool Allah ﷺ ne apne dono haath zameen par maar kar un mein phoonka, phir unhe apne chehre-e-mubarak par phera, phir dono haathon par phera. (Bukhari o Muslim)

Yeh baat Yaad rahe ke agar koi shakhs bimaar ho aur ghusl karne ki waja say jaan jaane, ya kisi aazaa ka talaf honay ya marz ke barh jaanay ka khof ho to aisi soorat mein tayammum karne ki ijazat hogi, lekin agar bimaari na ho aur bimaari ka mahaz andesha ho ya paani garam karne ka intezam ho ya ghusl ke baad heater waghera ka intezam ho, to iss soorat mein tayammum ki ijazat nahi hogi.

:الدر المختار وحاشية ابن عابدين (رد المحتار) (1/ 232)

“(من عجز) مبتدأ خبره تيمم (عن استعمال الماء) المطلق الكافي لطهارته لصلاة تفوت إلى خلف (لبعده) ولو مقيماً في المصر (ميلاً) أربعة آلاف ذراع، (أو لمرض) يشتد أو يمتد بغلبة ظن أو قول حاذق مسلم ولو بتحرك … (أو برد) يهلك الجنب أو يمرضه.

(قوله: من عجز) العجز على نوعين: عجز من حيث الصورة والمعنى، وعجز من حيث المعنى فقط، فأشار إلى الأول بقوله لبعده، وإلى الثاني بقوله أو لمرض، أفاده في البحر…. (قوله: يهلك الجنب أو يمرضه) قيد بالجنب؛ لأن المحدث لايجوز له التيمم للبرد في الصحيح، خلافاً لبعض المشايخ، كما في الخانية والخلاصة وغيرهما. وفي المصفى أنه بالإجماع على الأصح، قال في الفتح وكأنه لعدم تحقيق ذلك في الوضوء عادة. اهـ. واستشكله الرملي بما صححه في الفتح وغيره في مسألة المسح على الخف من أنه لو خاف سقوط رجله من البرد بعد مضي مدته يجوز له التيمم. قال: وليس هذا إلا تيمم المحدث لخوفه على عضوه، فيتجه ما في الأسرار من اختيار قول بعض المشايخ.أقول: المختار في مسألة الخف هو المسح لا التيمم كما سيأتي في محله – إن شاء الله تعالى – نعم مفاد التعليل بعدم تحقيق الضرر في الوضوء عادة أنه لو تحقق جاز فيه أيضا اتفاقا، ولذا مشى عليه في الإمداد؛ لأن الحرج مدفوع بالنص، هو ظاهر إطلاق المتون (قوله: ولو في المصر) أي خلافاً لهما (قوله: ولا ما يدفئه) أي من ثوب يلبسه أو مكان يأويه. قال في البحر: فصار الأصل أنه متى قدر على الاغتسال بوجه من الوجوه لايباح له التيمم إجماعاً”۔

الفتاوى الهندية (1/ 28):
“وإذا خاف المحدث إن توضأ أن يقتله البرد أو يمرضه يتيمم، هكذا في الكافي. واختاره في الأسرار. لكن الأصح عدم جوازه إجماعاً، كذا في النهر الفائق. والصحيح أنه لايباح له التيمم، كذا في الخلاصة وفتاوى قاضي خان.ولو كان يجد الماء إلا أنه مريض يخاف إن استعمل الماء اشتد مرضه أو أبطأ برؤه يتيمم”.

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144108200286