Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
kiya Oral sex se ghusl farz hota hai?
Jawab:
Soorat mas’alah mein Oral sex karte waqt agar inzaal(Manni niklna) nahi hua to ghusl farz nahi hota. Yeh (Oral sex) amal shar’aan na jaiz hone ke alawa ghair sharifana aur ghair mohazzab amal hai.
Miaan biwi ka aik doosre ki sharmgah chatna, tu yeh amal shar’aan na jaiz hone ke alawa ghair sharifana aur ghair mohaz’zab amal hai.
Miaan biwi ka aik doosre ki sharmgah ko dekhna bhi ghair munasib hai aur nisyaan(Bholne) ki bimari ka sabab banta hai, lehaza is se door rehna zaroori hai.
Hadees shareef mein umm-ul-momineen Hazrat Ayesha radiallahu anha farmati hain:
“Mai’ne Rasoolullah ﷺ ke sath Sat’tr ki taraf kabhi nazar nahi uthayi.”
Is hadees ke zail main sahib-e-mazahir haq Allama Qutbuddin Dehlvi likhte hain:
“Ek riwayat mein Hazrat Ayesha radiallahu anha ke yeh alfaz hain ke:
‘Na to unhone mujhe kabhi dekha aur na mai’ne unhe dekha.’
In riwayaton se maaloom hua ke agar shohar aur biwi ek doosre ka Sat’tar dekh sakte hain. lekin aadaab-e-zindagi aur sharm-o-haya ka intehai darja yahi hai ke shohar aur biwi bhi apas mein ek doosre ka Sat’tar na dekhein.”
Dosri hadees mein Rasoolullah ﷺ farmate hain: “Jab tum mein se koi apni ahliya(Wife) ke paas jaaye to parda kare, aur gadhon ki tarah nangana ho.” (Yani bilkul bura nah ho).”
البحر الرائق میں ہے:
“فرض الغسل عند خروج مني موصوف بالدفق والشهوة عند الانفصال عن محله.”
(کتاب الطهارۃ , احكام الغسل جلد 1 ص: 57 ط: دار الکتاب الاسلامي)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144407100307