Qaza roze ki niyat karte waqt agar azaan shuru ho jaye to kya hukum hai

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Agar qaza roze ki niyat karte waqt door ki masjid ki azaan kaan mein pad jaye aur phir foran se roza band kar lein, to kya roza mukammal hoga ya phir nahi?

Jawab:

Wazeh rahe ke qaza roze mein subah sadiq taloo hone se pehle pehle niyat karna zaroori hai, agar subah sadiq taloo ho kar fajr ka waqt daakhil ho jaye aur is ke baad koi qaza roze ki niyat kare to us se qaza roza ada nahi hoga,

phir agar subah sadiq ke baad kuchh khaya piya na ho to us soorat mein ab roza ki niyat karne se wo nafl roza shumaar hoga aur tootne ki soorat mein us ki qaza lazim hogi,

lehaza soorat-e-mas’ala mein agar raat se ya subah sadiq taloo hone se pehle qaza roze ki niyat nahi ki thi aur niyat karte waqt azaan shuru ho gayi thi to agar yeh azaan fajr ka waqt daakhil hone ke baad di ja rahi thi to is soorat mein us se qaza roza ada nahi hoga,

balkay qaza roza phir se rakhna pare ga. Niyaz agar sahri karte huay azaan shuru ho gayi thi aur fajr ka waqt daakhil hone ke baad di ja rahi thi to is soorat mein nafl roza bhi nahi hoga.

Fatwa Hindiya mein hai:

“وإذا نوى الصوم للقضاء بعد طلوع الفجر حتى لا تصح نيته عن القضاء يصير شارعا في التطوع فإن أفطر يلزمه القضاء كذا في الذخيرة.”

(كتاب الصوم، الباب الأول في تعريفه، 197/1،ط:رشيدية)

or Fatwa Shami main hai:

“(والشرط للباقي) من الصيام قران النية للفجر ولو حكما وهو (تبييت النية) للضرورة (وتعيينها) لعدم تعين الوقت..ولو نوى القضاء نهارا صار نفلا فيقضيه لو أفسده.

(قوله: والشرط للباقي من الصيام) أي من أنواعه أي الباقي منها بعد الثلاثة المتقدمة في المتن وهو قضاء رمضان والنذر المطلق، وقضاء النذر المعين والنفل بعد إفساده والكفارات السبع وما ألحق بها من جزاء الصيد والحلق والمتعة نهر، وقوله: السبع صوابه الأربع وهي كفارة الظهار، والقتل، واليمين، والإفطار (قوله: للفجر) أي لأول جزء منه ط (قوله: ولو حكما إلخ) جعل في البحر القران في حكم التبييت وأنت خبير بأن الأنسب ما سلكه الشارح من العكس إذ القران هو الأصل وفي التبييت قران حكما كما في النهر.”

(كتاب الصوم،380/2،ط: سعيد)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144407101850