Safar ki haalat mein roze ka hukm

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Mera 3 ya 4 Ramzan ul Mubarak ko imtihani parcha hai medical ke kisi shobe ka, jis ke liye mujhe Hyderabad se Karachi ki taraf safar karna hoga, is mamlay mein chand sawalat ke jawabat maloom karne hain:

1 ) Hum Hyderabad se Karachi safar karte hain to wahan musafir hote hain, qasar namaz parhte hain aur is baar aik mukammal din ka qiyam bhi hai, is surat mein wahan qiyam wale din roza rakhna hoga ya nah rakhna mubah hai jaisa ke Quran mein hukam rubi hai is ki wazahat farma dijiye ke afzal kya hai.?

2 ) Taraweeh ka kya hukm hai musafir par?

3 ) Main alhamdulillah bees rakaat taraweeh ki mukammal adayegi karta hoon lekin is baar imtihani parhai ka shadeed bojh hai, kya main imtihan hone tak ibteda ke do teen rakaat taraweeh parh sakta hoon? Musafir aur muqeem dono surton mein wazahat farma dijiye!

Jawab:

1 )– Agar shar’i safar mein kisi ek jagah 15 din tak qiyam ka irada nahin hai, to aisa shakhs shar’an musafir hai aur musafir ko rozah rakhne ya nah rakhne dono ka ikhtiyar hai, aur nah rakhne ki surat mein baad mein us rozah ki qaza karna lazim hogi,

taham agar safar ke doraan rozah rakhne mein sahulat hai, mushkil nahin hai to rozah rakh lena behtar hai, agar rozah rakhne mein mushqat aur mushkilat hai to us surat mein rozah nah rakhne ki bhi ijazat hai aur baad mein us rozah ki qaza karle.

2 )- Safar mein agar mouqa hota to taraweeh parh lena behtar hai. Aur agar mouqa nah hota to taraweeh ka chhordena bhi jaiz hai. (Kifayatul Mufti, Jild: 3, Safa: 404, Darul Ishaat)

3-) 20 raka’at taraweeh ada karna sunnat-e-muakkadah hai, yahi sahaba karam, tabi’een, taba tabi’een ka mamool tha, is par sahaba karam aur ummat-e-Muhammadiya ke fuqaha ka ijma hai,

20 raka’at se kam taraweeh nahin hai. Al’batta bees se kam jitni raka’at taraweeh ada ki jayengi utni raka’at to ada ho jayengi, lekin mukammal taraweeh ada nahin hogi,

lehaza imtehan ke bojh ki wajah se taraweeh ki namaz 20 se kam padhne ke bajaye mukhtasar suraton ke sath mukammal padhna hi behtar hai, iski barkat se Insha’Allah imtehan mein bhi kamyabi milegi.

Fatawa Shami mein hai:

“(التراويح سنة) مؤكدة؛ لمواظبة الخلفاء الراشدين (للرجال والنساء) إجماعاً.(قوله: التراويح) جمع ترويحة؛ سميت الأربع بها للاستراحة بعدها خزائن، وإنما أخرها عن النوافل لكثرة شعبها واختصاصها عنها بأدائها بجماعة وأحكام أخر، ولذا أفرد لها تأليفاً خاصاً بأحكامها الإمام حسام الدين، وتبعه العلامة قاسم.

(قوله: سنة مؤكدة) صححه في الهداية وغيرها، وهو المروي عن أبي حنيفة. وذكر في الاختيار أن أبا يوسف سأل أبا حنيفة عنها وما فعله عمر، فقال: التراويح سنة مؤكدة، ولم يتخرجه عمر من تلقاء نفسه، ولم يكن فيه مبتدعاً؛ ولم يأمر به إلا عن أصل لديه وعهد من رسول الله صلى الله عليه وسلم. ولاينافيه قول القدوري: إنها مستحبة كما فهمه في الهداية عنه، لأنه إنما قال: يستحب أن يجتمع الناس، وهو يدل على أن الاجتماع مستحب، وليس فيه دلالة على أن التراويح مستحبة، كذا في العناية. وفي شرح منية المصلي: وحكى غير واحد الإجماع على سنيتها، وتمامه في البحر.(قوله: لمواظبة الخلفاء الراشدين) أي أكثرهم؛ لأن المواظبة عليها وقعت في أثناء خلافة عمر – رضي الله عنه -، ووافقه على ذلك عامة الصحابة ومن بعدهم إلى يومنا هذا بلا نكير، وكيف لا، وقد ثبت عنه صلى الله عليه وسلم: «عليكم بسنتي وسنة الخلفاء الراشدين المهديين، عضوا عليها بالنواجذ»، كما رواه أبو داود، بحر (قوله: إجماعاً) راجع إلى قول المتن: سنة للرجال والنساء، وأشار إلى أنه لا اعتداد بقول الروافض: إنها سنة الرجال فقط، على ما في الدرر والكافي. أو أنها ليست بسنة أصلاً كما هو المشهور عنهم على ما في حاشية نوح، لأنهم أهل بدعة يتبعون أهواءهم لايعولون على كتاب ولا سنة، وينكرون الأحاديث الصحيحة.”

(کتاب الصلاۃ، باب الوتر والنوافل، ج: 2، صفحہ: 43،ط: ایچ، ایم، سعید)

وفیہ ایضاً:

“(ويندب لمسافر الصوم) لآية – {وأن تصوموا} [البقرة: 184]- والخير بمعنى البر لا أفعل تفضيل (إن لم يضره) فإن شق عليه أو على رفيقه فالفطر أفضل لموافقته الجماعة.”

(کتاب الصوم، فصل في العوارض المبيحة لعدم الصوم، ج: 2، صفحہ: 423، ط: ایچ، ایم، سعید)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144308102157