Maahe Ramadan mein roza nahi rakhne wale mazdooron ko dn mein khana ya pani dena

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Hamare ghar mein tameerati kaam horaha hai, kaam karne wale mazdoor rozah nahi rakhte, din ke auqat mein mazdoor ko khana khilana ya chai pilana hamare liye sahi hai ya nahi?

Jawab:

Wazeh rahay ke maah e Ramadan mein aqil baligh musalman mard-o-aurat par sharai wajja ke baghair rozah na rakhna haram hai, aur agar kisi shakhs ne sharai udhr wajja ke baghair roza nah rakha ho to uske liye saare dn kuch khaye piye baghair rehna lazim hota hai, jiski wajah se rozah chhorne wale ke liye din bhar khana peena jayaz nah hota.

Lihaza, surat-e-mas’ala mein mazdooron ko dn mein khana peena faraham karna معاونت علی الاثم (gunah karne mein ta’awun faraham karna) mein se honay ki wajah se najaaiz aur haram hogaa. Jo roza daar hon, unhe iftar karana baa’is-e-ajr-o-sawab hogaa.

Irshad-e-Bari Ta’ala hai:

وَلَا تَعَاوَنُوْا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ ﴾.” [المائدة: 2])

Tarjma:

“aur gunaah aur ziyadati mein aik doosre ki madad na karo, aur Allah Ta’ala se daro, beshak Allah Ta’ala sakht saza dene waale hain.” (Quran-e-Kareem, Surah Al-Maida, Ayat 2)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
:  144309100042