Join Whatsapp Group Join NOW
Qurbani ka tariqa aur Qurbani ki masnoon duaain ke baray mein janne ke liye yahan par mojood tafsili maloomat ka mutalia karen. Is Fatwa mein Qurbani ki ahmiyat, Qurbani ka sahi tariqa aur us ke sath-sath masnoon duaain bhi shamil hain. Janein kis tarah apni Qurbani ke amal ko sahi tareeqe se anjaam dein aur is ibadat ko pura karne ke liye Allah SWT ki raza hasil karen.
Sawal:
Qurbani karne ka tariqa masnoon duaon ke sath?
Jawab:
B’soorat-e-mas’oolah qurbani karne ka sahi tariqa ye hai ke
janwar ko qibla ro lataane ke baad “Bismillah, Wallahu Akbar” kehte howe tezz dhaar chhure se janwar ke halaq aur laba ke darmiyaan zibah kiya jaye, aur gardan ko poora kaat kar alag nahin kiya jaye, na hi haram maghaz tak kaata jaye,
balki “Hilqoom” aur “Mari” yaani saans ki nali aur iske atiraf ki khoon ki ragain jinhen “Odaj” kaha jata hai kaat di jayen. is tarah janwar ko shadeed takleef bhi nahin hoti aur saara najis khoon bhi nikal jata hai, is tariqe ke ilawa baqi tamam tariqon mein na hi pura khoon nikalta hai aur janwar ko bila zaroorat shadeed takleef bhi hoti hai.
Janwar ko qibla rukh latate huwe janwar ki baaiin krot par latana pasandeeda hai, (yaani hamare mulk mein janwar ki sar wali taraf junub mein aur dum wali janib shumal mein ho), taake daiin haath se chhuri chalane mein asaan ho.
“عن أنس، قال: «ضحى النبي صلى الله عليه وسلم بكبشين أملحين أقرنين، ذبحهما بيده، وسمى وكبر، ووضع رجله على صفاحهما»”.
(Sahih Muslim: 3/1556)
Tarjuma:
Hazrat Anas (RA) farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ ne do chatkabray singon wale mendhon ki qurbani ki, unhon ne in donon ko apne haath se zabah kiya, aur zabah karte waqt ‘Bismillah, Allahu Akbar’ parha, aur in ke paehlu par apna qadam mubarak rakha.
’’عن عائشة: أن رسول الله صلى الله عليه وسلم أمر بكبش أقرن يطأ في سواد، ويبرك في سواد، وينظر في سواد، فأتي به ليضحي به، فقال لها: «يا عائشة، هلمي المدية»، ثم قال: «اشحذيها بحجر»، ففعلت: ثم أخذها، وأخذ الكبش فأضجعه، ثم ذبحه، ثم قال: «باسم الله، اللهم تقبل من محمد، وآل محمد، ومن أمة محمد، ثم ضحى به»‘‘.
(Sahih Muslim: 3/1557)
Tarjuma:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa (RA) se riwayat hai ke Rasool Allah (SAW) ne ek seengon wala mendha lanay ka hukm diya jo siyahi mein chalta ho, siyahi mein baithta ho aur siyahi mein dekhta ho (yani pao, pet aur ankhain siyah/Black hon).
Phir aik aisa mendha qurbani ke liye laya gaya to ap (Sallallaho alaihe wasallamne farmaya} ke “Ay Ayesha ! Chhuri lao”. Phir farmaya ke isko pathar se tez kar do, to maine tez karke diya.
Phir ap (Sallallaho alaihe wasallam) ne chhuri li, mendhe ko pakra, usko litaaya, phir zibah karte waqt farmaya ke ‘Bismillah’, ‘Ay Allah! Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ki taraf se aur Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ki Aal ki taraf se aur Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ki Ummat ki taraf se isko qabool kar’, phir iski qurbani ki.”
(Fatawa Hindiya, 5/326)
“أَمَّا الِاخْتِيَارِيَّةُ، فَرُكْنُهَا الذَّبْحُ فِيمَا يُذْبَحُ مِنْ الشَّاةِ وَالْبَقَرِ، وَالنَّحْرُ فِيمَا يُنْحَرُ وَهُوَ الْإِبِلُ عِنْدَ الْقُدْرَةِ عَلَى الذَّبْحِ وَالنَّحْرِ، وَلَايَحِلُّ بِدُونِ الذَّبْحِ أَوِالنَّحْرِ، وَالذَّبْحِ هُوَ فَرْيُ الْأَوْدَاجِ وَمَحَلُّهُ مَا بَيْنَ اللَّبَّةِ وَاللَّحْيَيْنِ، وَالنَّحْرُ فَرْيُ الْأَوْدَاجِ وَمَحَلُّهُ آخِرُ الْحَلْقِ، وَلَوْ نَحَرَ مَا يُذْبَحُ أَوْ ذَبَحَ مَا يُنْحَرُ يَحِلُّ لِوُجُودِ فَرْيِ الْأَوْدَاجِ لَكِنَّهُ يُكْرَهُ لِأَنَّ السُّنَّةَ فِي الْإِبِلِ النَّحْرُ وَفِي غَيْرِهَا الذَّبْحُ، كَذَا فِي الْبَدَائِعِ … وَالْعُرُوقُ الَّتِي تُقْطَعُ فِي الذَّكَاةِ أَرْبَعَةٌ: الْحُلْقُومُ وَهُوَ مَجْرَى النَّفَسِ، وَالْمَرِيءُ وَهُوَ مَجْرَى الطَّعَامِ، وَالْوَدَجَانِ وَهُمَا عِرْقَانِ فِي جَانِبَيْ الرَّقَبَةِ يَجْرِي فِيهَا الدَّمُ، فَإِنْ قُطِعَ كُلُّ الْأَرْبَعَةِ حَلَّتْ الذَّبِيحَةُ، وَإِنْ قُطِعَ أَكْثَرُهَا فَكَذَلِكَ عِنْدَ أَبِي حَنِيفَةَ – رَحِمَهُ اللَّهُ تَعَالَى -، وَقَالَا: لَا بُدَّ مِنْ قَطْعِ الْحُلْقُومِ وَالْمَرِيءِ وَأَحَدِ الْوَدَجَيْنِ، وَالصَّحِيحُ قَوْلُ أَبِي حَنِيفَةَ – رَحِمَهُ اللَّهُ تَعَالَى – لِمَا أَنَّ لِلْأَكْثَرِ حُكْمَ الْكُلِّ، كَذَا فِي الْمُضْمَرَاتِ”.
(كِتَابُ الذَّبَائِحِ وَفِيهِ ثَلَاثَةُ أَبْوَابٍ، الْبَابُ الْأَوَّلُ فِي رُكْنِهِ وَشَرَائِطِهِ وَحُكْمِهِ وَأَنْوَاعِهِ، ٥ / ٢٨٥ – ٢٨٧)
Fatwa Muhammadia main hai:
“Janwar ko zabah karte waqt bayen taraf pehlu par latana chahiye, kyunki is surat mein zabah mein asani hoti hai. Aur jab bayen pehlu par lataya jayega to sir janoob ki taraf hoga.” (17/244)
Umdatul Qari Sharh Sahih Al-Bukhari mein hai:
’’وقال ابن القاسم: الصواب أن يضجعها على شقها الأيسر وعلى ذلك مضى عمل المسلمين فإن جهل فأضجعها على الشق الآخر لم يحرم أكلها.‘‘
(ج:21، ص:155، ط: دار إحياء التراث العربي – بيروت)
:إكمال المعلم بفوائد المسلم میں ہے:
’’وقوله: ” فأضْجعه ثم ذبحه “: سُنّة فى صفة الذبح، من إضجاعه برفق، ولا تذبح قائمة ولا باركة، ومضى العمل بإضجاعها على الشق الأيسر؛ لأنه أهنأ لمناولة ذبحها باليمين وإمساك رأسها باليسار.‘‘
(ج:6، ص:412، ط: دار الوفاء للطباعة والنشر والتوزيع، مصر)
Qurbani ki duaen yeh hain:
Jab qurbani ka janwar qibla rukh litaaye to pehle darj zail ayat parhna behtar hai:
“إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا ۖ وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ، إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ”.
Aur zibah karne se pehle darj zail dua agar yaad ho to parh le:
’’اللّٰهُمَّ مِنْكَ وَ لَكَ‘‘ Pher ’’بسم اللهِ اللهُ أكبر‘‘
keh kar zibah kare, aur zibah karne ke baad agar darj zail dua yaad ho to parh le:
’’اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْهُ مِنِّيْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ وَ خَلِيْلِكَ إبْرَاهِيْمَ عليهما السلام.‘‘
Agar kisi aur ki taraf se zibah kar raha ho to ’’مِنِّيْ‘‘ ki jagah ’’ مِنْ‘‘ ke baad us shakhs ka naam le le.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144112200731
Topic: Ibaadat, Zabihah/Qurbani Zabihah, Sharait, Sunan, Aadaab o Makroohat