Khala ko shohwat se haath lagaya to hukm-e-musaaharat ka hukam

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Khala ko chhua baghair sohbat ki niyat ke, phir khayal aaya ke chhona nahi chahiye, to kya is se hukm-e-musaaharat sabit ho gayi, balkay khala ne khud apna haath utha liya tha?

Jawab:

Agar koi shakhs kisi aurat ko shohwat (jensi khawaish) se haath lagata hai to us aurat ke asool (walidah waghera) o farooh (beti waghera) us mard par haram hone ke liye darj zail shara’ait hain:

(1) Woh aurat jise shohwat se chhua gaya ho woh mushtaha (qabil-e-shohwat) ho, yaani kam az kam nine yani 9 saal ki ho.

في الهندية : ”ویشترط أن تکون المرأة مشتهاةً ، والفتویٰ علی أن بنت تسع محل الشهوة لا ما دونها، کذا في معراج الدرایة. وحکي عن الشیخ الإمام أبی بکر أنه کان یقول: ینبغي للمفتي أن یفتي في السبع والثماني أنها لا تحرم، إلا أن بالغ السائل أنها عبلة ضخمة جسیمة، فحینئذٍ یفتی بالحرمة، کذا في الذخیرة والمضمرات.” ( الفتاوی الهندية، ص۲۷۵ ، ج۱ )

(2) Mas (chhune) ke waqt ya nazar (sharmgah ki taraf dekhne) ke waqt hi shohwat pai jaye, agar is waqt shohwat nahi thi, balkay baad mein shohwat ubhri to haramat sabit nahi hogi.

” والشهوة تعتبر عند المس والنظر حتیٰ لو وجدا بغیر شهوة ثم اشتهیٰ بعد الترك لا تتعلق به الحرمة
( الفتاوى الهندية، ص۲۷۵ ، ج۱ )

(3) Shohwat paida honay ki koi mu’tabar alamat pai jaye, aur agar pehle se shohwat maujood ho to chhootay waqt ya sharmgah ko dekhtay waqt shohwat mazeed barh jaye. Basurat-e-digar haramat sabit nahi hogi.

” وحدّ الشهوة في الرجل أن تنتشر آلته أو تزداد انتشاراً إن کانت منتشرةً … هذا الحد إذا کان شاباً قادراً علی الجماع ، فإن کان شیخاً أو عنّیناً فحد الشهوة أن یتحرک قلبه بالاشتهاء إن لم یکن متحرکاً قبل ذلك ویزداد الاشتهاء إن کان متحرکاً.” ( الفتاوى الهندية، ص۳۷۵ ، ج۱ )

(4) Shohwat ke sath chhona iss tarah par ho ke darmiyan mein koi kapra waghera ha’il na ho, aur agar darmiyan mein koi kapra ha’il hota hai to itna baraasrik ho ke jism ki hararat puhnchne se na rokta ho, warna haramat sabit nahi hogi.

” ثم المسّ إنما یوجب حرمة المصاهرة إذا لم یکن بینهما ثوبٌ ، أما إذا کان بینهما ثوب فإن کان صفیقاً لا یجد الماس حرارة الممسوس لا تثبت حرمة المصاهرة وإن انتشرت آلته بذلك، وإن کان رقیقاً بحیث تصل حرارة الممسوس إلی یده تثبت، کذا في الذخیرة.” (الفتاوى الهندية، ص۳۷۵ ، ج۱ )

(5) Shohwat ke sath chhoney, boosa dene ya sharamgah ko dekhne ki wajah se inzaal na hua ho, agar muzakkarah soraton mein inzaal hojaye to haramat-e-musaharat sabit nahi hogi.

‘والمختار أن لاتثبت بناءً علی أن الأمر موقوف حال المسّ إلی ظهور عاقبته، إن ظهر أنه لم ینزل حرمت، وإلا فلا، کما في الفتح.” (مجمع الأنهر في شرح ملتقی الأبحر ص۳۲۸ ، ج۱)

Lihaza agar kisi shakhs ne apni khala ko shohwat se hath lagaya ho aur upar bayan ki gai shara’it pai jati hon to us ki beti se nikah haram ho ga, lekin agar in sharait main say koi aik bhi shart na pai jaye jaisa ke soorat-e-mas’alah se zahir hai to haramat lazim nahi hogi. Faqat wallahu a’lam.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
:  144112200761

Topic: Nikah: Haramat-o-ghair-muharamat, Nasbi muharamat.