Takmel-e-Quran par mithai ya khana khilana

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Hamare han madrese mein hifz ki 4 dars’gahin hain, jin mein taqriban 117 talibaye karam hain. Jis bachay ka takmeel Quran ho to woh bacha tamaam Tulaba ka mithai ke zariye ikram karta hai ya khanay khilata hai. Neez intizamiyah samt asatzah karam ko tohfe tahaaf tani Gift bhi deta hai, lekin intizamiyah aur ustazah ki taraf se koi mutal’ba nahin hota, yeh sab kuch talibaye karam aur sarparast apni khushi se karte hain.

Lekin ba’z talibaye karam jo ghareeb aur nadar hote hain, woh bhi un talibaye karam ko dekh kar apne ghar walon ko is tarah ikram karne par majboor karte hain, toh is tarah ikram karna aur tahaaf Gifts ko qubul karna ja’iz hai ya na-jaiz? Neez hamari is mein kya shar’ī zimma-dari hai.

Jawab:

Jo talibah aqil baligh hon, aise talibah ya un ke sarparast hazrat takmeel Quran ke mauqe par mehaaz targheeb dene par apni razamandi se, baghair kisi jabr-o-ikraah ke mithai, khanay ya tahaaf Gift ka intizaam karte hain,

aur daawat nahi karne ya mithai nahi kholne ki soorat mein un par kisi qisam ki malamat nahi ki jaati hai, to aisi soorat mein un baligh talibah ka khud ya un ke sarparaston ka doosre talibah ki daawat ya asaatizah ko tahaaf dena aur asaatizah ke liye wasool karna jaiz hoga.

Jin talibah ke sarparast ghareeb hon aur us baat ka ehtemal ho ke aise talibah ke sarparaston ki qalbi razamandi nahin hai, majbooran yeh intizaam kar rahe hain to aisi soorat mein is tarah ki daawat aur tahaaf se ijtinaab karna hi behtar hai, aur agar daawat karne ya tahaaf dene wale talibah baligh nahi hon, ya aise talibah ke sarparast hazrat bojh-e-jabr-o-ikraah ke us daawat aur tahaaf ka intizaam karte hain to aisi daawat aur tahaaf ka qubool karna jaiz nahin hoga.

Jab intizamiya ke ilm mein hai ke mazkoorah sorat-e-haal mein nadar talaba ke walidain majboor ho kar ye sab intizam karte hain to intizamiya ko chahiye ke munasib tareeqay se takmeel ke moqa par is tarah ki amoomi daawat o matthai ya tahaaf ke silsile ko khatm kar den. Infiradi tor par (yani bager kisi ijtemai program kay) agar apni raza se koi matthai ya tohfa deta hai to us ko qubool kar liya jaye, taakeh ijtima’i mahaul ki wajah se nadar talaba aur un ke sarparast majboor na hon.

مرقاۃ المفاتیح میں ہے:

“(” لا يحل مال امرئ “) أي: مسلم أو ذمي (” إلا بطيب نفس “) أي: بأمر أو رضا منه”.

(مرقاة المفاتيح شرح مشکاۃ المصابیح: باب الغضب والعارية (5/ 1974)، ط. دار الفكر)

تبیین الحقائق میں ہے:

“وشرطها أن يكون الواهب عاقلا بالغا حرا”.

(تبيين الحقائق: كتاب الهبة (5/ 91)، ط. المطبعة الكبرى الأميرية – القاهرة)

درر الحکام شرح مجلۃ الاحکام میں ہے:

“لا تصح هبة الصغير والمجنون والمعتوه ماله ولو بعوض، ولو كان العوض أزيد من المال الموهوب، أي: باطلة، ولذلك لا تجوز الإجازة لو أجاز بعد البلوغ أو الإفاقة؛ لأن الإجازة تلحق بالعقود الموقوفة ولا تلحق بالعقود الباطلة”.

(درر الحكام شرح مجلة الأحكام: الكتاب السابع الهبة، الباب الأول، الفصل الثاني في بيان شرائط الهبة (2/ 397)، ط. دار الجيل)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
 144411100380

Topic: Madrsa, Makulat/Mashrubaat, Hadiya aur Ziyafat ke Ahkam