Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Ek maweshi farosh (Janwar bechne wala) apne janwaron (bheins, gaaye, bakri waghera) ko farbah (Mota) karne ke liye sor (Pig) ki charbi dana ya charah mein mila kar khilata hai; taake yeh janwar zyada qeemat mein bikay yani sale ho, aik shakhs is janwar ko qurbani ke iraday se khareedta (Buy) hai, Ab Janwar Kharedne wala yeh shakhs is janwar ki qurbani kar sakta hai ya nahi?
Jawab:
Maweshi farosh (Janwar bechne wala) ke liye janwar ko farbah/mota karne ke liye ya kisi bhi maqsad ke liye sor/Pig ki charbi waghera khareedna aur janwar ko khilana keh woh janwar zyada qeemat mein farokht/sale ho, shar’an jaiz nahi hai,
lehaza maweshi malikon par lazim hai ke woh apne janwaron ko zyada qeemat mein farokht karne ke liye janwaron ko haram ashyaa par mushtamil feed waghera na khilayen,
bil’khusoos khinzir/pig ke ajza (jo najas ul ayn hai) ke istemaal se zyada ijtinaab karna chahiye, baqi khoraak ki helat o haramat se halal janwar ki halat mustasir nahi hoti, is liye aise janwar ki qurbani jaiz hai.
Fatwa Hindiya Main hai:
“الجدي إذا كان يربى بلبن الأتان، والخنزير إن اعتلف أياما فلا بأس لأنه بمنزلة الجلالة والجلالة إذا حبست أياما فعلفت لا بأس بها فكذا هذا، كذا في الفتاوى الكبرى والله أعلم.”
(کتاب الذبائح،ج5،ص290،ط؛دار الفکر)
وفیہ ایضاً:
“ويكره أكل لحوم الإبل الجلالة وهي التي الأغلب من أكلها النجاسة لأنه إذا كان غالب أكلها النجاسة يتغير لحمها وينتن فيكره أكله كالطعام المنتن، وذكر القاضي في شرحه على مختصر الطحاوي أنه لا يحل الانتفاع بها من العمل وغيره إلا أن تحبس أياما وتعلف فحينئذ تحل، وما ذكره القدوري أجود، ثم ليس لحبسها تقدير في ظاهر الرواية، هكذا روي عن محمد – رحمه الله تعالى – أنه قال: كان أبو حنيفة – رحمه الله تعالى – لا يوقت في حبسها، وقال: تحبس حتى لطفت، وروى أبو يوسف – رحمه الله تعالى – عن أبي حنيفة – رحمه الله تعالى – أنها تحبس ثلاثة أيام، وروى ابن رستم عن محمد – رحمه الله تعالى – في الناقة الجلالة والشاة الجلالة والبقرة الجلالة: إنما تكون جلالة إذا نتن وتغير لحمها ووجدت منه ريح منتنة فهي الجلالة حينئذ لا يشرب لبنها ولا يؤكل لحمها وبيعها وهبتها جائز، هذا إذا كانت لا تخلط ولا تأكل إلا العذرة غالبا، فإن خلطت فليست بجلالة فلا تكره؛ لأنها لا تنتن….”
(کتاب الذبائح،ج5،ص290،ط؛دار الفکر)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144412100263
Topic: Qurbani, Qurbani ka janwar, Janwar ki umar, Sharait or Ousaaf Questions Words: Haram ghiza, Tayyar kardah janwar, Qurbani ka hukm, Sor ki Charbi se mota kiya gaya janwar, Qurbani jaiz ya nahi, Janwar ki farokht, Haram ashyaa se parhez. Pig ki charbi