Join Whatsapp Group Join NOW
Kya Barelvi ke piche parhi gayi namaz wajib al-adaa hai?
Sawal: Barelvi imam ke piche namaz parhne ka kya hukm hai, kya unke piche parhi gayi namaz ka dubara say ada karna zaroori hai?
Jawab:
Agar bid’ati imam Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم ko Allah Ta’ala ke maanind har jagah hazir o nazir, ‘Alam al-ghaib, aur mukhtar-i kul samajhta hai, to yeh shirk hai;
kyun ke Allah ek hai, us ke sath koi shareek nahi hai,
is soorat mein Allah Ta’ala ke sath hazir o nazir, ‘Alam al-ghaib aur mukhtar-i kul hone mein Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم bhi shareek hojate hain, aur Kalma tayyibah, Kalma shahadat ki shahadat ke khilaf hojata hai, is liye jaan boojh kar aise aqaid rakhne wale imam ki iqtidaa mein namaz parhna jaiz nahi hai, parhne ki soorat mein dubara se pahrna namaz ka lautana lazim hoga, aur agar la’ilmi mein parh li to hojayegi, lautane ki zaroorat nahi hogi.
Aur agar bid’ati imam aise aqaid ka hamil nahi hai jo shirkiya kehlata hoon, examples: sirf tija, chaleeswan waghera jaise bid’at mein mubtala hai, to is ki imamat karahat ke sath jaiz hai jis ki tafseel yeh hai ke agar sahih aqeeda wala imam mil jaye to bid’ati imam ki iqtidaa mein namaz na parhi jaye, aur agar sahih aqeeda wala imam nah mile to majboran aise imam ke piche namaz parh le, jama’at nahi chohre, aur aisi soorat mein namaz dobara parhne ki zaroorat nahi hogi,
albata muttaqi parhezgaar imam ke piche namaz parhne se jitna thawab milta hai, utna Sawab nahi milega.
Fatawa-e-Shami mein hai:
“(ويكره) … (إمامة عبد) … (وأعرابي) … (ومبتدع) أي صاحب بدعة … (لا يكفر بها) … (وإن) … (كفر بها) … (فلا يصح الاقتداء به أصلا) فليحفظ … وفي النهر عن المحيط: صلى خلف فاسق أو مبتدع نال فضل الجماعة.
وقال عليه في الرد: (قوله نال فضل الجماعة) أفاد أن الصلاة خلفهما أولى من الانفراد، لكن لا ينال كما ينال خلف تقي ورع لحديث «من صلى خلف عالم تقي فكأنما صلى خلف نبي» قال في الحلية: ولم يجده المخرجون نعم أخرج الحاكم في مستدركه مرفوعا «إن سركم أن يقبل الله صلاتكم فليؤمكم خياركم، فإنهم وفدكم فيما بينكم وبين ربكم».”
(كتاب الصلاة، باب الإمامة، ١/ ٥٥٩، ط: سعيد)
بدائع الصنائع میں ہے:
“قال بعض مشايخنا: إن الصلاة خلف المبتدع لا تجوز، وذكر في المنتقى رواية عن أبي حنيفة أنه كان لا يرى الصلاة خلف المبتدع، والصحيح أنه إن كان هوى يكفره لا تجوز، وإن كان لا يكفره تجوز مع الكراهة.”
(كتاب الصلاة، فصل بيان من هو أحق بالإمامة وأولى بها، ١/ ١٥٧، ط: دار الكتب العلمية)
فتاویٰ عالمگیریہ میں ہے:
“قال المرغيناني تجوز الصلاة خلف صاحب هوى وبدعة ولا تجوز خلف الرافضي والجهمي والقدري والمشبهة ومن يقول بخلق القرآن وحاصله إن كان هوى لا يكفر به صاحبه تجوز الصلاة خلفه مع الكراهة وإلا فلا. هكذا في التبيين والخلاصة وهو الصحيح، هكذا في البدائع.”
(كتاب الصلاة، الفصل الثالث في بيان من يصلح إماما لغيره، ١/ ٨٤، ط: رشيدية)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144501102775
Ye be Parhen: Safar mein Ehtelaam honay ki sorat mein Tayammum kar kay Namaz parhne ka hukm
Topic: Namaz, Imamat ka Bayan, Fasiq / Bid'ati / Fasid al-Aqeeda ki Imamat