Kiya Her rakat ke shuru mein Bismillah aahista parhna mustahab hai.

By Abdullah

Kiya Her rakat ke shuru mein Bismillah aahista parhna mustahab hai.

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal:

Kiya Her rakat ke shuru mein Bismillah aahista parhna mustahab hai.? Please Answer dijeye ga.

Jawab:

Fatwa is par hai ke her Rakat ke shuru mein Bismillah kahey aur isey aahista kahey. Aur Imam Muhammad (Rahmah Allah) ke nazdeek har surah se pehle bhi Bismillah parh lena chahiye. Lekin yeh hukm mustahab darjah ka hai, farz wajib nahi hai. Lihaza agar tark karde to koi harj nahi. or Yeh hukm farz wajib nafl Sab namazon ke liye hai.
قال في الشامي: وذكر في المصفى أن الفتوى على قول أبي يوسف أنه يسمي في أول كل ركعة ويخفيها. وذكر في المحيط: المختار قول محمد، وهو أن يسمي قبل الفاتحة وقبل كل سورة في كل ركعة. (الدر مع الرد: 2/192، زكريا)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Fatwa Reference: Darul ifta Darul Uloom Deoband India

Fatwa: 1045-840/D=09/1443
Topic: Ibadat / Salah Namaz