Bache howe saman ko bager ijazat ke istemaal karne ka hukam

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Malik agar bachay hue samaan ko phenkne ka bole to kya is ko baghair ijazat istemaal kiya jasakta hai?

Sawal: Mein ek company mein kaam karta hoon, jo keh concrete ki company hai, aur is company se maal le kar jab hum kisi jagah par jaate hain, aur wahan pe kaam khatam hone ke baad kuch maal bach jaata hai, jab woh maal bach jaata hai, to humein maal khareedne wale kehte hain keh: woh maal ja kar kahin gira do ya zaya kar do.

Ab poochna yeh hai keh kya woh maal hum bech kar apne istemaal mein la sakte hain ya is ko zaya kardain?

Jawab:

Surat-e-mas’oolah mein agar maalik ne is cheez ko phenkne ka kaha tha, to aap ke liye ijazat hai keh is ko apne istemaal mein le aaien, shara’an is mein koi qabaahat nahi.

Fatawa-e-Hindiya mein hai:

“رجل ‌نفق ‌حماره فألقاه في الطريق فجاء إنسان وسلخه ثم حضر صاحب الحمار فلا سبيل له على أخذ الجلد ولو لم يلق الحمار على الطريق فأخذه رجل من منزل صاحبه وسلخه وأخذ جلده فلصاحبه أن يأخذ الجلد ويرد ما زاد الدباغ فيه. وعنه أيضا في شاة ميتة نبذها أهلها فأخذ رجل صوفها وجلدها ودبغه فذلك له فإن جاء صاحبها بعد ذلك أخذ الجلد ويرد ما زاد الدباغ فيه وجوابه في مسألة الشاة يخالف جوابه في مسألة الحمار فيجوز أن يقاس كل واحدة من المسألتين على الأخرى فيصير في المسألتين روايتان كذا في المحيط.

المبطخة إذا قلعت وبقيت فيها بقية فانتهب الناس ذلك إن كان تركها ليأخذها الناس لا بأس بذلك وهو بمنزلة من حمل زرعه وبقي منه سنابل إن ترك ما يترك عادة ليأخذه الناس فلا بأس بأخذه وكذلك من استأجر أرضا ليزرعها فزرعها ولو رفع الزرع وبقيت فيه بقية مثل ما يترك الناس عادة فسقاها رب الأرض ونبتت بسقيه فهي لرب الأرض كذا في التتارخانية والله أعلم.”

(كتاب الكراهية، ج:٥، ص:٣٤٦، ط:دار الفكر)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144503101655

Topic: Hazr o Ibaahat, Mutafarriqaat, Fazlaat, Halal Haram