Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Hal hi mein meri shaadi hui hai to mera sawal yeh hai ke meri biwi humbistari ke waqt faarigh nahi hoti chunkeh mein faarigh ho jaata hoon to kya mein baad mein is ko haath ke saath faarigh kar sakta hoon?
Jawab:
Mazkoorah uzar ki bina par gunjaish hai.
Fatawa-e-Mahmoodiya mein hai:
Sawal{9256}:
“Agar mard apni biwi ki khwahishat azzo khaas ke ilawa kisi aur cheez se poori karta hai maslan is ki sharmgah mein ungliyan daal kar khelta hai to aisa karna jaiz hai ya nahi?
Al-Jawab Hamida wa Musallia:
Woh ungliyan daal kar khelne ki jagah nahi aur ungli aala-e-jima’ nahi… Agar woh a’naan hai, is mard mein jimaa SEX ki taaqat nahi, biwi ka haq ada nahi kar sakta hai, to us ko talaq de de, taakeh woh apna doosra intizam kar le aur woh kis maqsad ke liye aisa karta hai aisa karna maadah saalihah ko zaya karna hai, jaise koi shakhs mehnat se rupiya jama kare, phir is ko darya mein phenk de, mard wa aurat dono ka hukm ak jesa hai, azzat dono ke haq mein azzat hai, koi gharz sahi is se mutalliq ho to is par Ghuor kiya ja sakta hai.
(Baab-ul-Hijaab, J:19, S:238, T:Jameah Farooqia)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144409100719
Topic: Hazr o Ibaahat, Mutafarriqaat, Sex jimma aur is ke mutalliqat waghera. Shadi