Roze ki haalat mein pakhaane ki jagah gilli ungli daalne se kya roza toot jaata hai?

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal:: Mujhe pakhana karne mein takleef hoti hai, to is liye mujhe thori si ungli andar daalni padti hai, jis se pakhana sahi aajata hai. To poochna yeh tha ke agar gili ungli daali jaye to kya roza fasid hoga? Darul Uloom Deoband ki website par dekha tha wahan likha hua tha ke agar gili ungli mauzu-e-haqna tak nahi pahunchi to roza nahi tootega. To bas tasalli ke liye yahan masla daryaft kar raha hun, Darul Uloom Deoband ka fatwa bhi yahan copy kar raha hun, dekh lijiye. Agar kisi ne roza ki halat mein bimari ki wajah se do martaba khushk ungli pichli sharmgah mein daali to is se roza par koi farq nahi padega. Aur agar kisi ne (pani ya dawa se) tar ungli daali aur andar haqna ki jagah tak pahunchadi, yaani: is jagah tak pahunchadi jahan tak haqna ka aala pahunchakar anton ki taraf dawa chhodi jati hai to albatta is surat mein roza tut jayega, warna tar ungli ki surat mein bhi roza nahi tootega. (Ahsanul Fatawa, 4:440, Matbu’a: HM Saeed Karachi)

Jawab:

Surat-e mas’oolah mein istinja ke doran agar pakhane ki jagah gili aur tangli daali toh is se roza tut jayega, roze ki qaza lazim hogi, kaffarah nahi. Aur agar pakhane ki jagah khushk ungli daali toh is se roza fasid nahi hoga, nayaz sa’il ko pakhane mein takleef hoti hai toh kisi tabeeb se rujoo kare.

Wazeh rahe ke jo cheezein nazaroon se ghaib hoti hain un mein sirf zahir par fatwa diya jata hai, fatawa-e Shami mein jo tar ungli daakhil karne ki surat mein roze ke fasad ko mauzu hukm tak pahunchane ke saath muqayyad kiya gaya hai, is par mutala hona aur ise pehchanana mushkil hai, is liye fiqhi qawaid ki roshni mein yahan zahir par fatwa diya jata hai, yaani sirf tar ungli daakhil karne ke saath hi roza fasid ho jayega.

Fatawa-e Shami mein hai 🙂

Dalail:

“ولو أدخل اصبعه الیابسة فيه أی دبرہ أو فرجها ولو مبتلة فسد، ……

(قوله: ولو مبتلة فسد) لبقاء شيء من البلة في الداخل وهذا لو أدخل الأصبع إلى موضع المحقنة كما يعلم مما بعده……”

(كتاب الصوم،باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده،2/ 397،ط:سعید)

الفتاوى الهندية میں ہے:

“و لو أدخل أصبعه في استه أو المرأة في فرجها لايفسد، و هو المختار إلا إذا كانت مبتلةً بالماء أو الدهن فحينئذ يفسد لوصول الماء أو الدهن، هكذا في الظهيرية.”

( الفتاوى الهندية،کتاب الصوم ،1/ 204ط:دارالفکر)

تبيين الحقائق ميں هے:

“لو أدخلت الصائمة أصبعها في فرجها أو دبرها لايفسد على المختار إلا أن تكون مبلولةً بماء أو دهن.”

(تبيين الحقائق شرح كنز الدقائق ،كتاب الصوم،1/ 330ط:دارالكتاب الاسلامي)

مجلة الأحكام العدليةمیں ہے:

المادة: 68 ،دليل الشيء في الأمور الباطنة يقوم مقامه،يعني أنه يحكم بالظاهر فيما يتعسر الاطلاع على حقيقته”.

(مجلة الأحكام العدلية، ص24ط:نورمحمدالمادة: 68 ط:نورمحمد)

(درر الحكام في شرح مجلة الأحكام لعلي حيدر میں ہے:

“(المادة 68) دليل الشيء في الأمور الباطنة يقوم مقامه،يعني أنه يحكم بالظاهر فيما يتعسر الاطلاع على حقيقته.

هذه القاعدة مأخوذة من المجامع ويفهم منها أنه إذا كان شيء من الأمور التي لا تظهر للعيان، فسببه الظاهري يقوم بالدلالة على وجوده؛ لأن الأمور الباطنة لا يمكن للإنسان أن يستدل عليها إلا بمظاهرها الخارجية”.

(درر الحكام في شرح مجلة الأحكام لعلي حيدر ،المادة68،دليل الشيء في الأمور الباطنة يقوم مقامه،(1/ 68)ط:دارالجيل)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Fatwa No: 144409100196
Fatwa Center: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town

Related Hash Tags:

1. #RozeKiHaalatMeinPakhaaneKiJagah
2. #GilliUngliDaalneSeKyaRozaTootJaataHai
3. #RozaAurGilliUngli
4. #RozeMeinPakhaaneKaSahiTareeqa
5. #RozaKiHifazat
6. #RozeMeinGilliUngliDaalneKiSaza
7. #RozaTodneKiWajah
8. #RozeMeinLaparwahi
9. #RozaMeinGilliUngliDaalnaJaizHaiYaNahi
10. #RozaAurAdab

Same Searcheing queries:
Roze ki halat mein pakhaane ki jagah gilli ungli daalne se kya roza toot jaata hai?

1. Roza kholne ki jagah gilli ungli daalne ka asar
2. Roze ki halat mein pakhaane ki wajah se roza toot sakta hai?
3. Roze mein gilli ungli daalne se kya roza batil ho jaata hai?
4. Roza kholne ki jagah gilli ungli daalne ka sharai hukam
5. Roze ki halat mein pakhaane ki jagah gilli ungli daalne ka masla
6. Roze mein gilli ungli daalne se kya roza jaiz rehta hai?