Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:: Kya ulte ane se roza tut jata hai?
Jawab:
Wazeh rahe ke ulte se baaz surton mein roza toot jata hai aur baaz surton mein nahi tootta, zeel mein tamam surton ke saath ahkaam zikr ki jarahe hain:
1- Agar roze ke doraan baghair ikhtiyar aur irade ke khud-bakhud ulte hojaye to roza fasid nahi hoga, chahe ulte thori hui ho ya zyada, dono surton mein roza nahi tootega.
2- Agar kisi ne apne ikhtiyar aur irade se jaan boojh kar ulte ki aur ulte munh bhar kar hui to roza toot jayega, aur agar ulte munh bhar kar nahi hui ho to roza nahi tootega.
3- Aur agar baghair ikhtiyar ke munh bhar kar ulte hui aur saari qay ya is mein se chane ki miqdar ke barabar ya is se zyada ko roza yaad hote hue jaan boojh kar apne ikhtiyar se wapas louta liya to is se roza toot jayega.
4- Aur agar baghair ikhtiyar aur irade ke hi wapas halq mein chali jaye to roza nahi tootega.
Dalail:
فتاوی شامی میں ہے:
“(وإن ذرعه القيء وخرج) ولم يعد (لا يفطر مطلقا) ملأ أو لا.”
“(وإن استقاء) أي طلب القيء (عامدا) أي متذكرا لصوم (إن كان ملء الفم فسد بالإجماع).”
“(وإن ذرعه القيء وخرج) ……….. (فإن عاد) بلا صنعه (و) لو (هو ملء الفم مع تذكره للصوم لا يفسد) خلافا للثاني-(قوله: لا يفسد) أي عند محمد وهو الصحيح.”
“(وإن أعاده) أو قدر حمصة منه فأكثر حدادي (أفطر إجماعا) ولا كفارة (إن ملأ الفم وإلا لا) هو المختار.”
(كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده،414/2،ط:سعید)
البحر الرائق میں ہے:
“فالحاصل أن صور المسائل اثنا عشر…………………………………………..وأن صومه لا يفسد على الأصح في الجميع إلا في مسألتين في الإعادة بشرط ملء الفم، وفي الاستقاء بشرط ملء.”
(کتاب الصوم، باب ما یفسد الصوم وما لا یفسدہ،479،480/2،ط:العلمية)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Fatwa No: 144409100833
Fatwa Center: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Related Hash Tags:
1. #RozahKiHalat
2. #UltiAaneKaAsar
3. #RozahMeinUlti
4. #UltiAaneSeRozah
5. #RozahTutneKaSawal
6. #UltiAurRozah
7. #RozahTutJataHai
8. #UltiKaRozahParAsar
9. #RozahMeinUltiAaneKaMasla
10. #UltiAaneSeRozahTutJataHai
Same Searcheing queries:
Kya rozah toot jata hai ulti aane se
Rozah kya toot jata hai ulti hone par
Rozah kya batil ho jata hai ulti aane se
Kya ulti aane se rozah farig ho jata hai
Rozah kya khatam ho jata hai ulti hone par
Rozah kya toot jata hai qay honay se