Sawal: Naswaar ka istemaal kaisa hai?
Jawab
Join Whatsapp Group Join NOW
Naswaar ka istemaal chuki tambakoo aur chuna waghera say banti hai, is liye iska istemaal tambakoo ki tarah apni zaat mein mubah aur jaiz hai. Lekin naswaar ki badboo, khas kar masjid mein, namaziyon aur farishton ko takleef deti hai. Is liye namaz say pehlay munh achi tarah saaf karna chahiye, aur aam halat mein bhi iska tark karna hi behtar hai.
Fatawa Shami mein likha hai:
“فإنه لم يثبت إسكاره ولا تفتيره ولا إضراره بل ثبت له منافع، فهو داخل تحت قاعدة الأصل في الأشياء الإباحة وأن فرض إضراره للبعض لايلزم منه تحريمه على كل أحد”.
(کتاب الأشربة،ج6، ص: 459، ط: دار الفکر)
Fatawa Mahmoodiya mein likha hai:
“Jis tambakoo se nasha hota hai, uska khana (chahe woh paan mein ho ya kisi aur tareeqe se), ya peena (huqqa, beedi, cigarette kisi bhi shakal mein) najaiz hai. Naswaar se agar nasha hota ho to woh bhi najaiz hai, warna koi harj nahi.”
(Bab Shurb Al-Dukhan Wa Istemaal Al-Nawrah Wa Ghairaha, Tambakoo, Paan, Cigarette Aur Naswaar Ka Hukm, Jild 18, Safah 388, Idara Al-Farooq)
Fatawa Number: 144605100872
Darul Ifta: Jamia Uloom Islamia, Allama Muhammad Yusuf Banuri Town
Faqat Wallahu A’lam.
Takhmeen
Naswaar ka istemaal agar kisi nashay ka sabab banay ya doosron ko takleef de to iska tark karna behtareen hai. Masjid aur namaz ki adai mein safai ka khayal rakhna or badbu naa aye is ka khayal rakhna bhot zaroori hai.