Bhot se Qaza Roze Kase Adda karen

By Abdullah

Table of Contents

Sawal:

Join Whatsapp Group Join NOW

Agar 1 Shakhs Ne Bohat Saaray Rozay Chuohre Baghair Kisi Sharai Uzar Ke, Aur Baad Mein Is Ko Khayaal Aaya Ke Yeh To Mujh Se Bohat Gunah Ka Kaam Sar’zad Howa,

Aur Woh Is Ko Wapas Lotana Chahta Hai Is Ki Qaza Karna Chahta Hai To Aaya Sirf Aur Sirf Is Ki Qaza Kere Ga Ya Ke Is Ko Is Ka Kaffara Bhi Ada Karna Parre Ga?

Matlab Ke Is Ko 2 Month Lagataar Rozay Bhi Rakhna Hon Ge Ya Sirf Aur Sirf Apne Un Chohre Howe Rozon Ko Hi Rakhay Ga To Is Ki Saza Poori Hojaye Gi ?

Jawab:

Ramzan Ul Mubarak Ka Roza Bager Kisi Sharai Waja Ke Chhorna Kabira Gunah Hai,

Aur Haqeeqat Yeh Hai Ke Zindagi Bhar Rozay Rakhay Jayen To Bhi Is Rozay Ka Sawab Haasil Nahi Hopaye Ga, Jo Is Din Roza Rakhnay Se Haasil Hota.

Behar Haal Agar Is Shakhs Ko Nedamat Hogai Hai Aur Sadaq Dil Se Tauba Karli Hai To Jo Rozay Chore Diye Hain ( Yani Ramazan Ul Mubarak Ka Roza Rakh Kar Tora Nahi, Balkay Roza Rakha Hi Nahi To ) Har Rozay Ke Badlay Aik Roza Rakhna Hoga, Is Soorat Mein Kaffara Nahi Hoga.

Book: Darul Mukhtar Ala Hamish Radul Mukhtari Babu Ma’Ufsidul’Suoom Wa’Ma’La’Ufsiduho

Kaffara Us Waqt Hota Hai Jab Ap Ne Roza Rakha Or Phr Usy Bager Shari Uzar Ke Toor Dia Us Waja Se Phr Ap Ko Kaffara Adda Karna Ho Ga..

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144007200015
Sawal Date: 09-03-2019