Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Agar aik aurat bachay ko doodh pilati ho, kya woh aurat rozah rakh sakti hai?
Jawab:
Agar rozay rakhne se doodh mein kami na aati ho aur bacha ki khurak ki zaroorat poori ho jati ho to aisi aurat par rozay rakhna farz hai, lekin agar rozay rakhne ki surat mein doodh mein kami ki wajah se bacha ko mukammal khurak na mil sake to is ke liye rozay chhorne ki gunjaish hai, chhore gaye rozay baad mein qaza karne honge.
Sirf Allah hi behtar janta hai.
Reference: Darul Ifta Jamia Uloom-e-Islamia Allama Muhammad Yousuf Banuri Town
Fatwa number: 143909200301
Second fatwa: Dodh Pelane Wali aurat Maa kay Liye Roza Ka hukam
Sawal:
Jis aurat ka bacha 3 mahina ka ho aur maa ka doodh pita ho, us sorat mein maa ke liye roza ka kya hukm hai?
Jawab:
Bismillah hirrahman nirrahim
Agar roza rakhne se maa ka doodh bohat km hojata hai aur bacha ki halakat ka andesha ho to aisi halat mein roza na rakhne ki ijazat hai, baad mein qaza karle.
Faqat Wallahu ta’ala aalam.
Reference : Darul Ifta, Darul Uloom Deoband.
Fatwa: 949-996/B=9/1438