Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: (1) Agarche humbistari Sex ke darmiyan manni kharij nahin huo kya is surat mein ghusl wajib hoga?
(2) Agar jism pe jo kapray sabhi hain kya woh sab napak ho gaye?
(3) Agar kamar se oopar koi kapray nahin ho phir humbistari ke baad pehan liya kya yeh kapray ghusl ke baad pehen sakte hain? Bara-e-karam, tafseel se bataen.
Jawab:
Bismillah Hir’rahman Nir’rahim,
- Ji haan! Agar inzaal yaani mani kharij nah ho to bhi ghusl wajib ho jaayega, wajib-e-ghusl ke liye inzaal(mani niklna) zaroori nahin hai, sirf dikhol hi se ghusl wajib ho jaata hai. “Miyan ke jamaa karne se (yaani mard ki sharmgah aurat ki sharmgah mein daakhil hote hi) miyan biwi par ghusl farz ho jata hai, dakhool hotay hi ghusl farz ho gaya hai.”
- Nahi; lekin agar kisi kapray par napaki jaise manni lagi ho to uss ka itna hissa napak hoga jitne par napaki lagi ho.
- Ji haan! Pehn sakte hain.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 477-331/SN=05/144
Question Keywords
- Humbistari karte waqt mannai na nikle tu ghusal farz ho ga
- sex main manni na nikle tu kiya ghusal karna chaiye
- mannai na nikle tu ghusal wajib ho ga ya nahi
- islam sawal miyan biwi sex karen or manni na nikle tu kiya ghusal karna chaiye ya nahi