Topic: Gheebat karne wale se maafi mangna
Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
Hakeem Akhtar Shah sahib Pakistan walay ki gheebat pay Bayan suna, unhon ne farmaya ke agar kisi ki gheebat ki ho aur usay maloom nahi ho to is se maffi maangna lazim nahi hai,
maffi tab maangna lazim aata hai jab kisi ko maloom ho jaye ke is ki yeh burai ki gai.
ye baat unhon ne Molana Ashraf Ali thanwi rehmat Allah alaihi ke malfoozat se naqal ki hai, zara is ki tasdeeq farmaden. mere paas bayan mojood hai. Link bhej sakta huon
jawab:
Bismillah’hir’rahman’nir’raheem
Gheebat ke hawalay se hazrat hakeem Akhtar sahib marhoom ka bayan sahih hai, baaz barray barray mfsrin aur muhadseen bhi is ke qaail rahay hain,
Hazrat molana Ashraf Ali thanwi Rehma Allah ne bhi bayan-ul-quran mein usay naqal kya hai.
Albata is par yeh izafah kya hai ke jis shakhs ke samnay gheebat ki gayi hai gheebat karne walay par zaroori hai ke is ke samnay apni takzeeb kare,
chana’chay ”بیان القرآن“ mein hai ” ( gheebat karne ) mein haqooq ullah aur haqooq ul ibad dono hain is liye tauba bhi wajib hai aur maaf karwana bhi,
Albata baaz ulama ne kaha hai ke jab tak is shakhs ko is gheebat ki khabar nahi puhanche to haqooq ul ibad nahi hota
نقلہ في الروح عن الحسن والخیاطی وابن الصباغ والنووی وابن الصلاح والزرکشی وابن عبد البر عن ابن المبارک
lekin is soorat mein bhi jis shakhs ke samnay gheebat ki thi is ke samnay apni takzeeb karna zaroori hai aur agar mumkin nahi ho to majboori. ( Bayan ul quran tafseer Surah hujurat)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 54-54/Sn=11/1435-U