Ghusl ka Masnoon Tareeqa

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Ghusl ka sahih sunnat tareeqa kya hai?

Jawab: Ghusl mein 3 cheezein farz hain, unke baghair ghusl durust nahin hota, aadmi napak rehta hai:

  1. Is tarah kulli karna ke saare munh mein paani pohanch jaaye Halak tak.
  2. Naak mein paani daalna jahan tak naak naram hai.
  3. Saare badan par paani pohanchana.

In teen cheezon ke alawa baqi cheezein sunnat hain, unke karne se sawab milta hai aur agar na karein to bhi ghusl hojata hai magar sunnat ke mawafiq nahin hota. Ghusl karne ka masnoon tareeqa darj zail hai:

  1. Ghusl karne waale ko chahiye ke pehle ghutnon tak donon haath dhooye, phir istinja ki jagah dhooye. Haath aur istinja ki jagah par najasat ho to bhi aur na ho to bhi har haal mein in donon ko pehle dhone chahiye.
  2. Phir jahan badan par najasat lagi ho use paak karein.
  3. Phir wuzu karein. Agar kisi chowki (stool) ya patthar par baith kar ghusl kar raha hai to wuzu karte waqt pair/pauon bhi dhooley aur agar aisi jagah hai ke pair/pauon bhar jayenge aur ghusl ke baad phir dhone pareinge to saara wuzu karein magar pair/pauon na dhooye.
  4. Wazu ke baad teen martaba apne sar par pani dale, phir teen martaba dahine (seedhe) kandhe par aur phir teen baar baayein (ulte) kandhe par pani dale iss tarah ke saray jism par pani beh jaaye. Ek martaba pani bahane ke baad pehle saray jism par acchi tarah haath phair lay, phir doosri baar pani bahaaye ta keh sab jagah acchi tarah pani pahunch jaye, kahin 1 bal brabr jaga be sukha na rahe.
  5. Phir iss jagah se hat kar paak jagah mein aajaaye aur pair dhooye aur agar wazu ke waqt pair dho liye hon to ab dhoney ki hajat nahi. Iss tarah ghusl mukammal ho jayega.

Mazkoorah lekhy gaye tareeqa ke ilawa aur bhi kuch baatein hain jin ka ghusl karte waqt khayal rakhna chahiye:

  1. Ghusl karte waqt qibla ki taraf moun na kare.
  2. Pani bohat zyada na phenke aur na bohat kam ley ke acchi tarah ghusl na kar sake.
  3. Aisi jagah ghusl kare ke use koi na dekhe.
  4. Ghusl karte waqt baatein na kare.
  5. Ghusl ke baad kisi kapde se apna badan poonch daale.
  6. Badan dhakne mein bohat jaldi kare, yahan tak ke agar wazu karte waqt pair na dhoye hon to ghusl ki jagah se hat kar pehle apna badan dhakay phir dono pair dhoye.
  7. Agar tanhai ki jagah ho jahan koi na dekh paaye to nangay hokar nahana bhi durust hai, chahe khare hokar naa’e ya baith kar, lekin baith kar nahana behtar hai kyun ke is mein pardah zyada hai.
  8. Nahaate waqt zabaan se kalma ya koi dua na parhe.
  9. Agar ghusl ke baad yaad aaye ke falani jagah sookhi reh gayi thi to phir se nahana wajib nahi, balkay jahan sookha reh gaya tha ussi ko dubara geela kar de.
  10. Sar ke sab baal bhigona aur saari jaron mein paani pohanchana farz hai, agar ek baal bhi sookha reh gaya ya ek baal ki jarr mein paani nahin pohancha to ghusl nahin hoga. Albatta khawateen ke baal agar gunday hoye hon to baalon ka bhigona maaf hai lekin sab jaron mein paani pohanchana farz hai, ek jarr bhi sookhi nah rahen pai aur agar baghair baal kholay sab jaron mein paani nah pohanch sakay to baal khol dalay aur baalon ko bhi bhigo day.
  11. Angothee, chhalle aur gairah behtar hai ke utar kar ghusl kare, albatta agar angoothee, chhalle pehne hon to unhein khoob hila lay taaki paani surakhon mein pohanch jaye. Isi tarah khawateen nath aur baaliyon ko khoob hilaayen aur agar baaliyan nah pehne hon to bhi surakhon mein paani daal len, aisa nah ho ke paani nah pohanchay aur ghusl sahih nah ho.
  12. Kaan aur naak mein bhi khayal karke paani pohanchana chahiye, paani nah pohanchay ga to ghusl nah hoga.

Reference:

(Book: Bahaisti Zevar, Author: Hakimul Ummat Mujaddidul Millat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi Rahmatullahi Ta’ala)”

Ye Zaror Parhen: Roze ki Halt main ghusal kiya ja sakta hai.!