Gustakhana Mawad or us se Mutaliq Videos wagera ka hukam

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Assalam o alaikum, Mufti Sahb.

Table of Contents

SawaL

Aj Kal Social Media Ke Zariye Videos Aati Hain, Jn Me Islam Or Hazor Aqdas sallallahu alaihi wasallam Ki Shan Me Ghustakhi Ky Baare me Bataya Jata Hai Ky Falan Page Ya website Ne Islam Ke Baare Me Galt Maluomat Laga Rakhi Hai Or Aap Hazrat Is Ko Report Karen,
Tu Kiya Aysi Videos Ke Aagye Forward Karna Sahi Hai Ya Nai ..!

Jawab

Islam Me Burai Ke Kamo Or Gunah Ke Kamo Ko Rokne Or Hasbe Istetaat Un Par Nakeer Ka Hukam Hai,

Hadees E Nabwi Hai:

ghustakhana videos share karna

Tarjma Mafhom:Hazrt Abu Saeed Khudri Razi Allah Anho Se Riwat Hai Ky Me Ne Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Ye Farmate Howe Suna:

Ky Tum Me Se Jo Koi Burai dekhe Tu Usy Apne Hath Se Metaa De, Agar Qudrat Na Rakhta Ho Tu Zaban Se Man’na Kare, Or Agar Ye Bhe Na Ho Sake Tu Dil Se Bura Samjhe. Ye Emaan Ka Sab Se Kamzor Darja Hai”. (Sahi Muslim)

Burai Ko Mettane Or Rokne Ka Matlab Ye Hai Ky Har Aysa Jaiz Qadm Uhtaya Jaye,
Js Se Us Shar O Fasad ko Roka Ja Sake Ho,

Or Har Us Aml Se Ijtenaab Kia Jaye, Jo Us Shar Ke Phelne Ka Bais Ho…

Surat E Masuola Me Js Qism Ki Videos Ka Zikar Hai, Us Ko Aagye Forward Send Karne Se Ghustakhana Mawad Ki Rook Thaam Ho Sakti Hai, Tu Aagye Forward Send Karna Darust Hai,

Or Agar Us Video Ko Agye Forward Send Karne Se Koi Fahida Nahi Hota, Ya Us Se Ghustakhana Mawad Mazeed Phelne Ka Andesha Ho,

Tu Aysi Surat Me Us Video Ko Forward Send Karne Ke Bajaye Koi Or Mutabadil Tariqa(Hacking, Cyber Crime Report, Jihad) Ikhteyaar Kiya Jaye Us Ka Socha Jaye..

Daalail:

Ref: Darul Ifta Ul Ikhlas Karachi.
Fatwa Number: 6156