Ilaaj ke liye billi ka gosht istemaal krna

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

unwan : ilaaj ke liye billi ka gosht istemaal krna

Sawal :

Hamaray rabita mein 1 shakhs hain jin ko Bar bar dora parta rehta hai. dora parney ki soorat yeh hoti hai ke raah chaltay kabhi to behoshi taari ho jati hai, aur kabhi haath paer kanpnay aur badan kaanpnay lagta hai, aisi soorat mein ilaaj ki gharz se aik dr sahib ke paas jana howa, to unhon ne ilaaj ke tor par yeh mahswara diya ke agar aap billi ke gosht ka 2,3 tukre khayen ge to aap ko yaqeenan sht’yabi haasil ho jaye gi.

ab sawal yeh hai ke kya aisi sorat e haal mein bator ilaaj ke billi ka gosht khana ( jo kay haraam hai ) durust hai? aur kya Shariat mein is ka juwaz saabit hai ?

baraye meharbani mudlal jawab marhamat farmaen. neez aisi bemari ko daur karne keliye agar Shariat mein koi wazifa ya amal saabit ho to woh bhi bitayen.

Jawab:

Bismillah’hir’rahman’nir’raheem

( 1 ) Avlan Mubah ilaaj krane ki kosish ki jaye, agar Mubah zaraye ilaaj se mayoosi hojaye aur billi ke gosht mein ilaaj ghalba’zan ke darja mein mojood ho maslan batlanay walay doctor ya dosray mooatbar doctor ko tajurbah ho to aisi soorat mein majboori o lachari ki haalat mein sehat ke liye mazkorh tareeqa ikhtiyar kia ja’skta hai .

( 2 ) “Ya salam” ka wazifa kasrt se parheen .

( 3 ) Surah Fatiha 11 martaba Bismillah ke sath parh kr pani mein dam kar den aur poooray din wohi pani mareez ko pilain.

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa:
1072-834/D=09/1443