Jis ka koi waris na ho, us ki miras dolat ka hukm

By Abdullah

Shohar ki wafat ke baad biwi ko kitni virasat milegi agar aulad na ho?

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Kya farmatay hain ulama-e-deen, muftiyan-e-ikraam,

ke Abdul Matin ka intiqal hoa hai aur us ki aik biwi hai aur koi aulad nahi hai aur 3 bhai aur 1 behn hain, aur walid sahb bhi Zinda hain. Marhoom ki biwi ka mutalba hai ke hum ko humara hissa de do phir hum jahan chahein rahen gay. Lihaza marhoom ke walid par abhi kya yeh lazim hai aur hai to kitna dengay? Jawab Marhamat farma kar shukriya ka mauqa anayat farmaen.

Jawab:

Bismillah Hir’rahman Nir’rahim

Agar kisi shakhs ke koi aulad nahi hai to uski biwi ko marhoom shohar ke Maal se ek chauthai hissa milta hai. Agar marhoom Abdul Matin ne apni malkiat mein tarkah/Maal chhora hai to shariyat ke mutabiq biwi ek chauthai Maal e wiraast ki haqdar hai.

Agar Abdul Matin ki walidah/Maa Abdul Matin se pehle inteqal kar chuki thin to mazkoorah surat mein uska Sab Maal dolat/tarkah mamlooka baad ada’e huqooq muqaddama ali al-arz, kul 4 hisson mein manqoom hoga jin mein se 1 chauthai yaani ek hissa biwi ko aur baqiye 3 hisse baap ko mil jayenge.

Aur walid ki mojoodgi mein marhoom ke bhai behan ko koi hissa nahi milega. Aur agar Abdul Matin ne apni malkiyat mein kuch bhi maal dolat nahi chhora hai to biwi ko mutalbe ka HAQ nahi hai aur marhoom ke walid par apni malkiyat se dena laazim nahi hai.

( Ikhalqn Apne Bety ke bewa Biwi ko Kuch maal apni tarf se dena chahen tu de sakte hain ye bahtreen sadqa ho ga un ky liye)

Kul Hisay = 4

  • Zawjah = 1
  • Baap = 3
  • Bhai = MaHRoom
  • Bhai = MaHRoom
  • Bhai = MaHRoom
  • Behen = MaHRoom

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 
201-167/M=02/1441

Jis ki naa aulad ho aur naa walidain, us ki miraas kis ko milegi?

Sawal:

Mera sawal taqseem-e-warisat ke bare mein hai, 1 bhai, 5 behnein hain, 4 shadi shuda hain aur 1 ne shadi nahi ki, unho’ne kafi zyada property banai hai ghar aur plots wagaira,

jin 4 behnon ne shadi kar li thi aur un 4 behnon mein se 2 ki wafat hogayi hai aur unki aulad mojood hai, kya jis behn ne shadi nahi ki, uski wafat ke baad ks ks mein hissa taqseem hoga? Jo behnein wafat pa gayi hain, unki aulad ko kya hissa milega?

Jawab:

Surat-e-mas’ala mein jis behn ne shaadi nahin ki, agar us ka inteqaal baqi 2 behnon aur bhai ki zindagi mein ho jaye to us ka tarka/Maal dolat bhai aur behnon mein iss tarah taqseem hoga ke bhai ko dugna aur behnon ko akhira hissa milega, marhooma behnon ki aulad ka shar’ee tor par iss mein koi haq nahin hoga, aur agar bhai pehle fawt ho jaye to phir (behnoun ke saath) bhatije (bhai ki mazkur aulad) bhi shar’ee waris hon ge.

Lekin chun ke maut ki tarteeb muqarrar nahin hai, kis ka inteqaal pehle ho ga, kis ka baad mein, yeh Allah ke ilm mein hai, is liye jis waqt mazkurah (ghair shadi shuda) behn ka inteqaal ho, us waqt maujood waraseen ki tafseel bata kar dobara shar’i hukm maloom kiya jaye ga.

Quran Majeed mein hai:

“يَسْتَفْتُونَكَ قُلِ اللَّهُ يُفْتِيكُمْ فِي الْكَلَالَةِ ۚ إِنِ امْرُؤٌ هَلَكَ لَيْسَ لَهُ وَلَدٌ وَلَهُ أُخْتٌ فَلَهَا نِصْفُ مَا تَرَكَ ۚ وَهُوَ يَرِثُهَا إِن لَّمْ يَكُن لَّهَا وَلَدٌ ۚ فَإِن كَانَتَا اثْنَتَيْنِ فَلَهُمَا الثُّلُثَانِ مِمَّا تَرَكَ ۚ وَإِن كَانُوا إِخْوَةً رِّجَالًا وَنِسَاءً فَلِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الْأُنثَيَيْنِ ۗ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمْ أَن تَضِلُّوا ۗ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ”

(سورة النساء؛ آيت: 176)

Tarjma:

Log aap se hukm darkhwast karte hain, aap farmadijiye ke Allah Ta’ala tumhe Kalaalah ke bab mein hukm deta hai. Ke agar koi shakhs marjawa (jis ke aulad nahin ho, aur na maan baap) aur is ke aik (aeeni ya alaati) behan ho to us ko is ke tamam tarka ka nisf mile ga aur woh shakhs us (apni behan) ka waris hoga. Agar (woh behn marjawa aur) is ke aulad nahin ho (aur walidain bhi nah hon) aur agar behnein dohoun (yazeedah) to un ko is ke kul tarka mein se do-tihaai milein ge. Aur agar waris chand bhai behen hon, mard aur aurat to aik mard ko do aurton ke hisse ke barabar Allah Ta’ala tum se (dean ki baten) is liye bayan karte hain ke tum gumrahi mein nah paro. Aur Allah Ta’ala har cheez ko khoob jaanta hain.

(Surah An-Nisa; Ayat: 176) (Bayan-ul-Quran, jild 1, safha 435, tarteeb: Maktaba Rahmaniya)

Saraji mein hai:

“أما العصبة بنفسه: فكل ذكر لاتدخل في نسبته الي الميت أنثي، و هم أربعة أصناف: جزء الميت، و أصله، و جزء أبيه، و جزء جده، الاقرب فالاقرب، يرجحون بقرب الدرجة، أعني أولاهم بالميراث جزء الميت أي البنون ثم بنوهم و إن سفلوا، ثم أصله أي الأب ثم الجد أي أب الأب و إن علا، ثم جزء أبيه أي الإخوة ثم بنوهم و إن سفلوا الخ۔”

(Saraji, Bab-ul-Asbaat, safha 36, tarteeb: Maktaba Al-Bushra)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144307100441

Jis ki naa aulad ho aur naa walidain, us ki miraas kis ko milegi?

Sawal:

Main ne ek bacha kisi hospital se godh liya, jis ke walidain ke aath saal hogaye kuch pata nahi hai, lawaris jaisa tha. Agar main is ko maal-e-jaidad naam kardoon, phir agar kal ko is ka intiqal ho, is ki koi aulad nahi ho to yeh maal-e-jaidad kis ko milegi? Is ka sharai hukm bataiye!

Jawab:

Surat-e-Mas’alah mein agar mayyat baligh ho aur uska intiqal hojaye, aur uske qareebi ya door ke kisi bhi waris ka ilm na ho (Dhahiyal, Nanhiyal mein se kisi rishtedaar ka ilm na ho), woh shadi shuda bhi na ho toh uske saarey maal ka mustahiq woh hoga jis ke liye usne maut ke baad saarey maal ki wasiyat likhi ho.

Aur agar kisi ke liye wasiyat nahi likhi toh Baitulmaal ke intizam mein fasad ki wajah se ab is maal ka istemaal Fuqara ke liye hai.

Aur mayyat na-baaligh honay ki surat mein us ki wasiyat ma’tabar nahi hai, pura tarka Fuqara par lagaya jaye ga.

Mazeed yeh bhi Pata ho keh kisi ke naam jaidad karne se woh us ka malik nahi ban jata, balkay malik bananay ke liye use qabza o tasarruf dena zaroori hota hai.

Al-Durr al-Mukhtar wa Hashiyat Ibn Abidin (Radd al-Muhtar) (6/762)

بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع (7 / 334):

“فلا بد من أهلية التبرع فلا تصح من الصبي، والمجنون؛ لأنهما ليسا من أهل التبرع لكونه من التصرفات الضارة المحضة إذ لا يقابله عوض دنيوي، وهذا عندنا.”

الدر المختار وحاشية ابن عابدين (رد المحتار) (2 / 338):

“ورابعها الضوائع مثل ما لا … يكون له أناس وارثونا”.

الدر المختار وحاشية ابن عابدين (رد المحتار) (2 / 338):

“(قوله: ورابعها فمصرفه جهات إلخ) موافق لما نقله ابن الضياء في شرح الغزنوية عن البزدوي من أنه يصرف إلى المرضى والزمنى واللقيط وعمارة القناطر والرباطات والثغور والمساجد وما أشبه ذلك. اهـ.

ولكنه مخالف لما في الهداية والزيلعي أفاده الشرنبلالي أي فإن الذي في الهداية وعامة الكتب أن الذي يصرف في مصالح المسلمين هو الثالث كما مر.

وأما الرابع فمصرفه المشهور هو اللقيط الفقير والفقراء الذين لا أولياء لهم فيعطى منه نفقتهم وأدويتهم وكفنهم وعقل جنايتهم كما في الزيلعي وغيره.

وحاصله: أن مصرفه العاجزون الفقراء، فلو ذكر الناظم الرابع مكان الثالث ثم قال: وثالثها حواه عاجزونا .ورابعها فمصرفه إلخ لوافق ما في عامة الكتب”.

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
: 144202200604

Topic: Maamlaat, Warasat/Wasiyat/Waris aur unke hissay.