Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Muharram-ul-Haram ke dino mein ek khaas firqa ke ilawa Ahl-e-Sunnat wal-Jamaat ke baaz log bhi noha khwani karna aur sunna shuru kar dete hain, to kya iss tarah noha khwani karna jaaiz hai?
Jawab:
Muharram-ul-Haram ke mahine mein waqea-e-Karbala aur shahadat-e-Husain (R.A) ki wajah se dil ranjeeda, ghamgeen hona aur us par sabr karna Musalmanon ka sheewa hai. Yeh Islami tareekh mein ek bahut bara sadma tha,
lekin iss sadma par sabr aur tahammul karne ke bajaye rasmi dukh aur gham manaana, phir khaas kar khilaf-e-sharah kaam yani noha khwani aur seena kubbi ke zariye iss rasmi gham aur dukh ko zahir karna Islam mein haram hai.
Hadees Shareef mein noha khwani karne walon par sakht waaidiyan aayi hain, jaise ke mandarjazail ahadees mein hai:
“عن أبي سعيد الخدري قال: لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم النائحة والمستمعة. رواه أبو داود”.
(مشكوة المصابيح، کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1732، ج:1، ص:543، ط:المکتب الاسلامی)
Mafhom Tarjuma: Hazrat Abu Sa’eed Khudri (R.A) se riwayat hai ke Aap ﷺ ne Laant farmai, “Noha khwani karne wali par aur usko sunne wali par…”
“وعن عبد الله بن مسعود قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «ليس منا من ضرب الخدود وشق الجيوب ودعا بدعوى الجاهلية».”
(مشكوة المصابيح، کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1726، ج:1، ص:541، ط:المکتب الاسلامی)
Tarjuma:
Hazrat Abdullah bin Mas’ood (R.A) se marwi hai ke Rasool-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya, “Woh shakhs hamare raste par chalne walon mein se nahi hai jo rukhsaron ko pete, gareeban chhaak kare, aur ayyam-e-jahiliyat ki tarah awaz buland kare (yaani rone ke waqt zabaan se aise alfaaz aur aisi awaaz nikale jo shar’ee hawalaat mein mana hai jaise noha ya wawaila karna waghera waghera).
“وعن أبي بردة قال: أغمي على أبي موسى فأقبلت امرأته أم عبد الله تصيح برنة ثم أفاق فقال: ألم تعلمي؟ وكان يحدثها أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «أنا بريء ممن حلق وصلق وخرق» . ولفظه لمسلم.”
(مشكوة المصابيح، کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1726، ج:1، ص:541، ط:المکتب الاسلامی)
Tarjuma:
Hazrat Abi Burdah (R.A) kehte hain (ek martaba Hazrat Abu Moosa (R.A) be-hosh ho gaye to unki ahliya Umm Abdullah chila chila kar rone lagi.
Jab Hazrat Abu Moosa (R.A) ko hosh aaya to unhon ne kaha, “Kya tumhein nahi maloom ke chila chila kar rona kitna bura hai?” Chunaan’cheh rawi kehte hain ke phir Abu Moosa (R.A) unse ye hadith bayan karne lage ke Rasool-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya,
“Main us shakhs se bezaar hoon jo musibat aur hadsaton ke waqt sar ke baal mun-daaye (ganja hona), chila chila kar roye, aur apne kapre phaar daale.”
(Bukhari o Muslim) Hadith ke alfaaz Muslim ke hain.
“وعن أبي مالك الأشعري قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ” أربع في أمتي من أمر الجاهلية لا يتركونهن: الفخر في الأحساب والطعن في الأنساب والاستسقاء بالنجوم والنياحة “. وقال: «النائحة إذا لم تتب قبل موتها تقام يوم القيامة وعليها سربال من قطران ودرع من جرب» . رواه مسلم.”
(مشكوة المصابيح، کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1727، ج:1، ص:541، ط:المکتب الاسلامی)
Tarjuma:
Hazrat Abu Malik Ash’ari (R.A) farmate hain ke Rasool-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya: “Zamana-e-Jahiliyat ki char batain aisi hain jinhein meri ummat ke (kuch) log nahi chohrenge:
(1) Hasaab par fakhr karna,
(2) Nasab par taan karna,
(3) Sitaron ke zariye pani maangna,
(4) Noha karna.
Mazeed, Aap (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya: “Noha karne wali aurat ne agar marnay se pehle tubah nahi ki to woh Qiyamat ke dn us halat mein khadi ki jayegi ke us ke jism par “qatraan” (tarqool) ki shalwar aur “خارش ” ka kurta hoga.”
Lehaazah, mazkoorah waqia ki munasibat se jo shakhs bhi khilaf-e-sharai amoor(amal) ke zariye apne rasmi dukh aur gham ko zahir karega aur noha karega to woh mazkoorah waeedon mein daakhil hoga, aise logon ki majlison mein shareek hona bhi jaaiz nahi hai. Sirf Allah hi behtar janta hai.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144212201433
Topic: Janaza, soog o taazeyat, matam aur noha.