Masail ka hal kaise ho?

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Question: Masail ka hal kaise ho?

Sawal

Maine taqreeban 12 saal tak achi mulazmat ki, mainay double masters ki degree li hui hai. Logon ki munafiqat aur deen se doori ki wajah se, maine mulazmat se tang aa kar pichlay saal Ramzan ke baad apna kaam, property aur travel ka, shuru kiya. Magar mujhe mustaqil shiddat se nakaami ka samna ho raha hai. Maine apna kaam sach ke saath karne ka ehad kiya hai, magar mujhe masail ka samna hai.

Maine jis jagah kaam shuru kiya, woh jagah bhi ab khatam ho rahi hai. Meri walida bemaar hain aur main do bachiyon ka baap hoon. Mahana kharchaat humaray 70 hazar ke lagbhag bante hain, magar main mahana aik rupiya bhi nahi bacha paa raha. Maine bohat touba astaghfar ki, magar mujhe lagta hai ke sab kuch be’asar ho raha hai. Maine huqooq-ul-ibaad ki kotahi par bhi Allah ke huzoor bohat touba ki hai.

Main bohat gunahgaar hoon, magar banda jitna bhi gunahgaar ho, Allah Ta’ala usay maaf kar detay hain. Magar mere haalaat sudhar nahi rahe. Barah-e-karam meri rehnumai farmaayein, mujhe koi moo’yas’sar aur mujarrab wazifa batayein taake mere masail hal ho sakein!

Jawab:

Allah Ta’ala se duago hain ke Baari Ta’ala aap ke saath aasaanee aur aafiyat wala maamla farmaaye. Dunyawi zindagi mein insaan mukhtalif aazmaaishon aur takaleef se guzarta hai, lekin ek momin ko in tamam halat mein apne Rab ke fazl, uski ata aur bakhshish par kaamil aitqaad emaan aqida aur uske waada e rehm o karam par kaamil yaqeen rakhna chahiye aur hamesha uske karam aur rehmat ka umeedwar rehna chahiye. Allah ki zaat se badgumaani ya uski rehmat se mayoosi kisi Musalman ki shaan ke laayiq nahi.

Lihaza, aap in haalaat mein Allah ki zaat par aitmaad aur tawakkul rakhain, in aazmaishon ko razaa bil qaza samajhte huay Allah ki zaat se in par ajr o sawaab ki umeed rakhain. Namazon ka ihtimaam karain, Allah Ta’ala se apne ahwaal ki durusti maangte rahain, astaghfar ki kasrat bhi rakhein, aur jitni istataat ho sadaqah nikalte rahain. Aur mandarja zeel wazifa kasrat se parhte rahain:

“Hasbunallahu wa ni’mal wakeel”
حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ

Hadees Shareef mein Hazrat Abu Huraira Razi Allah Anhu se manqool hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Jab tumhein koi bhaari aur mushkil maamla pesh aa jaye to “Hasbunallahu wa ni’mal wakeel” ”حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ” padha karo. (Ma’ariful Hadith 5/153)

Fatawa Number: 143909200130
Darul Ifta: Jamia Uloom Islamia Allama Muhammad Yousuf Banuri Town

Topic:

#Uloom o #Fanoon
#Duain, #Aurad aur #Wazaif
#Masnoon #Duain