Nafli Roza ka torna – Sawal
Join Whatsapp Group Join NOW
Agar Ramadaan ul Mubarak Ke Ilawa Nafli Roza Rakha Ho Aur Woh Bhi Sehri Sirf Pani Se Ho, Shidat-e Bhook Ki Wajah Se Roza Tora Jaye Jan-Bojh kar Aur Qasdan To Kya Hukum Hai ?
Jawab
Bager Shari Wajah ke Nafli Roza Torna Durust Nahi Hai,
Naik Aamaal Shuru Karne Ke Baad Inhen Baatil Karne Se Qraanِ Pak Mein Mana Kya Gaya Hai.
Albata Agar Roza Poora Karna Bhook Ki Shiddat Ki Wajah Se Mushkil Ho Jaye Ya Is Ke Ilawa Koi Mootabar O Maqool Waja0 Ho To Nafli Roza Tora Ja Sakta Hai,
Is Ki Jagah Dosra Roza Rakhna Zaroori Hoga,
Yaad Rahay Ke Nafli Roza Tornay Ki Soorat Mein Kaffara Wajib Nahi Hota, Khuwa uzar Ki Wajah Se Torrey Ya Bela’uzzar Albata Bela’uzzar Torna Durust Nahi Hai .
Dalail:
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144110201433
Date: 15-06-2020
- Ye be Parhen: Bhot se Qaza Roze Kase Adda karen