Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
Kya Zabaan se Namaz ki Niyat karna Quran o Hadees se Saabit hai?
Jawab
Zabaan se Namaz ki niyat ke alfaaz kehna nah Quran o Hadees se Saabit hai aur nah Aymah’mutaqad’di’min se, is Liye Asal niyat dil hi ki hai,
Magar logon par was’wase o khayalat aur afkaar ka Ghalba Rehta hai jis ki Wajah se niyat ke Waqt Dil Mutawajjah nahi hota,
Dil ko Mutawajjah karne ke liye Mutakhreen ne Fatwa diya hai ke Niyat ke Alfaaz Zabaan se bhi adda Karlena Behtar hai, taakay Zabaan ke sath kehnay se Dil bhi Mutawajjah hojaye .
Ref Book: Apke masail aur inka hal Jild-2,
Author: Hazrat Molana Yousuf Ludhianvi Shaheed rehmat Allah)
Allah Pak Hamen Namaz ka sakuon dehaan naseeb farmaen.