Noha sunne ka hukam

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Islam main Noha Sun’na Halal hai ya Haram?

Jawab:

10 Muharram-ul-Haram ke dn waqia Karbala ka paish ana aur is waqia mein nawaseh Rasool ﷺ Hazrat Hussain رضي الله عنه ko khandaan Saamet shaheed kardena bohat bara Alam’naak waqia hai, lekin yeh baat bhi waazeh hai keh Islami tareekh shuhada ke khoon se rangeen hai,

Shariat-e-Mutahira ne hamein gham manane ke usool aur kaawaid bayan kar diye hain, jis aurat ka shohahr inteqaal kar gaya ho yani bewa aurat ko 4 Month, 10 din tak gham (soog) manana sirf jaiz nahi balkay wajib hai, aur degar aqarib ke intiqal ke baad 3 roz tak gham manana aur is ke izhar ki ijazat di gayi hai,

baqi kisi hadisah par 1400 saal ke baad bhi gham manana aur noha parhna matam karna aur is gham o dukh ko zahir karna Islam mein haram hai, hadees shareef mein noha khwani karne aur sunne walon par sakht wa’eediyan aayi hain,
jaise keh mandraje zail ahaadees mein hai:

Mishkat al-Masabih main hai:

“عن أبي سعيد الخدري قال: لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم النائحة والمستمعة.”

(کتاب الجنائز، باب دفن الميت، الفصل الثالث، رقم الحدیث:1732، ج:1، ص:543، ط:المکتب الإسلامي)


(مشكوة المصابيح، کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1732، ج:1، ص:543، ط:المکتب الاسلامی)

Mafhom Tarjuma: Hazrat Abu Sa’eed Khudri (R.A) se riwayat hai ke Aap ﷺ ne Laant farmai, “Noha khwani karne wali par aur usko sunne wali par…”

وفيه أيضا:

“وعن عبد الله بن مسعود قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ليس منا من ضرب الخدود وشق الجيوب ودعا بدعوى الجاهلية.”

(کتاب الجنائز، باب دفن الميت، رقم الحدیث:1725، ج:1، ص:541، ط:المکتب الإسلامي)

Tarjma:

Hazrat Abdullah bin Masood رضی اللہ عنہ se marwi hai ke Rasool Kareem ﷺ ne farmaya:
Woh shakhs hamare rastay par chalnay walon mein se nahi hai jo rukhsaron ko peetay, girebaan chaak kare aur ayyam-e-jahiliyat ki tarah awaaz buland kare (yaani ronay ke waqt zabaan se aise alfaz aur aisi awaaz nikale jo shar’aan mamnoo hai jaise noha ya wawaila karna wagaira wagaira).”

وفيه أيضا:

“وعن أبي بردة قال: أغمي على أبي موسى فأقبلت امرأته أم عبد الله تصيح برنة ثم أفاق فقال: ألم تعلمي؟ وكان يحدثها أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: أنا بريء ممن حلق وصلق وخرق.”

(کتاب الجنائز، باب دفن الميت، الفصل الأول، رقم الحدیث:1726، ج:1، ص:541، ط:المکتب الإسلامي)

Tarjuma:

Hazrat Abi Burdah (R.A) kehte hain (ek martaba Hazrat Abu Moosa (R.A) be-hosh ho gaye to unki ahliya Umm Abdullah chila chila kar rone lagi.

Jab Hazrat Abu Moosa (R.A) ko hosh aaya to unhon ne kaha, “Kya tumhein nahi maloom ke chila chila kar rona kitna bura hai?” Chunaan’cheh rawi kehte hain ke phir Abu Moosa (R.A) unse ye hadith bayan karne lage ke Rasool-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya,

“Main us shakhs se bezaar hoon jo musibat aur hadsaton ke waqt sar ke baal mun-daaye (ganja hona), chila chila kar roye, aur apne kapre phaar daale.”

وفيه أيضا:

“وعن أبي مالك الأشعري قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ” أربع في  أمتي من أمر الجاهلية لا يتركونهن: الفخر في الأحساب والطعن في الأنساب والاستسقاء بالنجوم والنياحة “. وقال: النائحة إذا لم تتب قبل موتها تقام يوم القيامة وعليها سربال من قطران ودرع من جرب.”

(کتاب الجنائز، باب دفن الميت، الفصل الأول، رقم الحدیث:1727، ج:1، ص:541، ط:المکتب الإسلامي)

Hazrat Abu Malik Ash’ari (R.A) farmate hain ke Rasool-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya: “Zamana-e-Jahiliyat ki char batain aisi hain jinhein meri ummat ke (kuch) log nahi chohrenge:
(1) Hasaab par fakhr karna,
(2) Nasab par taan karna,
(3) Sitaron ke zariye pani maangna,
(4) Noha karna.

Mazeed, Aap (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne farmaya: “Noha karne wali aurat ne agar marnay se pehle tubah nahi ki to woh Qiyamat ke dn us halat mein khadi ki jayegi ke us ke jism par “qatraan” (tarqool) ki shalwar aur “خارش ” ka kurta hoga.”

Lihaza, mazkoorah waqaya ki manasibat se jo shakhs bhi khilaf-e-sharai amoor ke zariye apnay rasmi dukh aur gham ko zahir karega aur noha khwani karega ya sunega to woh mazkoorah waedon mein daakhil hoga, al-gharaz noha karna ya sunna najaaiz aur haram hai.

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
 144501100322

Ye be Parhen: Mahram al-Haram mein noha khwani karne ka hukm

Topic: Janaza, soog o taazeyat, matam aur noha.