Qurbani ka janwar khareednay ke baad iss mein kisi aur ko shareek karna.

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Kya aap jaanna chahte hain qurbani ka janwar khareednay ke baad iss mein kisi aur ko shareek karna jaiz hai ya nahi? Hamari post parh kar iss maslay ka hal talash karain. Janiye Islamic principles ke mutabiq iss maslay ka jawab.

SawaL:

Ek bachhiya (gaaye) jo 5 bandon ne mil kar khareedi, ghar lanay ke baad qurbani se pehle is mein chhata satwan (6,7) hissa daar ko shareek karna kaisa hai?

Jawab:

Agar mazkoorah 5 afrad maaldaar hain yaani sahib-e-nisaab hone ki wajah se un par qurbani laazim hai aur qurbani ka janwar khareedne ke baad is mein kisi aur ko shareek karna chahte hain to us ki do surtiyan hain:

1۔۔ Janwar Khareedte waqt mazeed afrad ko is mein shareek karne ki niyat ki thi to aisi surat mein kisi qisam ki karahat ke baghair mazeed afrad ko shareek karna jaiz hoga. Albatta behtar yehi hai khareedne se pehle shareek kare.

2۔۔ Janwar Khareedte waqt mazeed afrad ko is mein shareek karne ki niyat nahi ki thi to aisi surat kisi aur ko is mein shareek karna makrooh hoga, albatta agar karle to bhi sab ki qurbani hojayegi.

Aur agar mazkoora khareedar maaldaar nahi( yani asa shaks js par qurbani laazim nai thi), balkay ghareeb hain aur qurbani ka janwar khareednay kay baad is mein kisi aur ko shamil karna chahtay hain to iski bhi do suratein hain:

1۔۔ Khareedtay waqt mazeed afrad ko bhi is mein shamil karne ki niyat ki thi to aisi surat mein mazeed afrad ko shamil karna jaiz hoga.

2۔۔ Khareedtay waqt mazeed afrad ko is mein shamil karne ki niyat nahi ki thi to ghair sahib-e-nisab shakhs kay qurbani ki niyat se janwar khareednay se woh is par qurbani kay liye laazim hogaya, lehaza ab kisi aur shamil nahi kya jasakta.

Agar shamil karliya to baqi hisson ki raqam sadqa karna laazim hogi.

الفتاوى الهندية (5/ 304)
‘ولو اشترى بقرةً يريد أن يضحي بها، ثم أشرك فيها ستة يكره ويجزيهم؛ لأنه بمنزلة سبع شياه حكماً، إلا أن يريد حين اشتراها أن يشركهم فيها فلا يكره، وإن فعل ذلك قبل أن يشتريها كان أحسن، وهذا إذا كان موسراً، وإن كان فقيراً معسراً فقد أوجب بالشراء فلا يجوز أن يشرك فيها، وكذا لو أشرك فيها ستة بعد ما أوجبها لنفسه لم يسعه؛ لأنه أوجبها كلها لله تعالى، وإن أشرك جاز، ويضمن ستة أسباعها’۔

فتاویٰ شامی میں ہے:

‘(وصح) (اشتراك ستة في بدنة شريت لأضحية) أي إن نوى وقت الشراء الاشتراك صح استحساناً وإلا لا (استحساناً وذا) أي الاشتراك (قبل الشراء أحب۔

(قوله: أي إن نوى وقت الشراء الاشتراك صح استحساناً وإلا لا)،كذا في بعض النسخ، والواجب إسقاطه كما في بعض النسخ ؛ لأن موضوع المسألة الاستحسانية أن يشتريها ليضحي بها عن نفسه، كما في الهداية والخانية وغيرهما، ولذا قال المصنف بعد قوله استحساناً: وذا قبل الشراء أحب. وفي الهداية: والأحسن أن يفعل ذلك قبل الشراء؛ ليكون أبعد عن الخلاف وعن صورة الرجوع في القربة اهـ. وفي الخانية: ولو لم ينو عند الشراء ثم أشركهم فقد كرهه أبو حنيفة.
أقول: وقدمنا في باب الهدي عن فتح القدير معزواً إلى الأصل والمبسوط: إذا اشترى بدنةً لمتعة مثلاً ثم أشرك فيها ستة بعدما أوجبها لنفسه خاصة لايسعه؛ لأنه لما أوجبها صار الكل واجباً بعضها بإيجاب الشرع وبعضها بإيجابه، فإن فعل فعليه أن يتصدق بالثمن، وإن نوى أن يشرك فيها ستةً أجزأته؛ لأنه ما أوجب الكل على نفسه بالشراء، فإن لم يكن له نية عند الشراء ولكن لم يوجبها حتى شرك الستة جاز. والأفضل أن يكون ابتداء الشراء منهم أو من أحدهم بأمر الباقين حتى تثبت الشركة في الابتداء اهـ ولعله محمول على الفقير أو على أنه أوجبها بالنذر، أو يفرق بين الهدي والأضحية تأمل’۔

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
 143909201998

Topic: Ibaadat, Zabihah/Qurbani, Qurbani ka janwar