Ramdan main roza na rakh kar khana haram hai

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Hamare gaon ke aik tehaye logon ne Ramadan ke rozay rakhe aur do tehaye nahin rakhe, chunanche masjid ke imam sahib ne Jumma ke roz rozay ke mauzu par guftagu karte hue farmaya: Quran Kareem mein Allah Ta’ala ka irshad hai:

شَہۡرُ رَمَضَانَ ٱلَّذِىٓ أُنزِلَ فِيهِ ٱلۡقُرۡءَانُ هُدً۬ى لِّلنَّاسِ وَبَيِّنَـٰتٍ۬ مِّنَ ٱلۡهُدَىٰ وَٱلۡفُرۡقَانِ‌ۚ فَمَن شَہِدَ مِنكُمُ ٱلشَّہۡرَ فَلۡيَصُمۡهُ‌ۖ وَمَن ڪَانَ مَرِيضًا أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ۬ فَعِدَّةٌ۬ مِّنۡ أَيَّامٍ أُخَرَ‌ۗ يُرِيدُ ٱللَّهُ بِڪُمُ ٱلۡيُسۡرَ وَلَا يُرِيدُ بِڪُمُ ٱلۡعُسۡرَ وَلِتُڪۡمِلُواْ ٱلۡعِدَّةَ وَلِتُڪَبِّرُواْ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَٮٰكُمۡ وَلَعَلَّڪُمۡ تَشۡكُرُونَ (١٨٥)۔

Baqarah 185 => keh Ramadan ka mahina panay wale aur tandrust-o-sehatmand rahne walon ke liye rozay rakhna farz aur zaroori hain, lehaza agar kisi shakhs ko Ramadan ka mahina mile aur baghair kisi wajah sharai wa tabai ke Ramadan ke rozay nahin rakhe aur din mein khana khaye, to us ke liye woh khana haram hoga, mera sawal ye hai ke kya imam sahib ne (jo shakhs tandrust aur sehatmand ho, baghair kisi uzr sharai wa tabai ke Ramadan mein rozay nahin rakhe aur khana khaye to woh haram khana khaye ga aur us ka khana haram hoga?) kya ye baat durust hai?

Jawab:

Wazeh rahe ke Ramadan ke rozay Chuorna sakht gunah hai, Bukhari Sharif ki riwayat ke mutabiq Ramadan ke rozay Islam ke arkaan mein se aik rukn hai, jo rozay ko chhodega guo’ya us ne Islam ke rukn mein se aik rukn ko chhod diya, yeh kabirah gunahon mein se aik gunah hai,

baaz Salaf-e-Saliheen ne aise shakhs ko kafir tak qarar diya hai, lehaza ahl-e-alaqa ko chahiye ke rozay rakhne ka ehtemam karen,

Imam Sahib ki naseehat ko manen, al’batta Imam Sahib ka ye kehna ke “jo shakhs tandrust aur sehatmand ho, baghair kisi uzr sharai wa tebi ke Ramadan mein rozay nahin rakhe aur khana khaye to us ke liye woh khana haram hoga”

is ka matlab ye hai ke rozay mein khane ka aml haram hai, khana haram nahin hai, yani rozay ki halat mein khana aik haram kaam hai, “Fi nafs-e-khana (yani woh cheez buzat-e-khud halal ho, roze mein khanay se woh) haram nahi hai.

Bukhari Sharif mein hai:

“عَن ابْنِ عُمَر رَضِي اللّهُ عَنْهُما قَال : قَال رَسُول اللّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلمَ : ” بُنِيَ الْإِسْلَام عَلَى خَمْسٍ : شَهَادَةِ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَأَن مُحَمّدا رسول الله، وَإِقَامِ الصَّلَاةِ، وَإِيتَاءِ الزَّكاة، والْحجّ، وصوم رمضان”.

(كتاب الإيمان، باب دعاؤكم ايمانكم، ج:1، ص:11، ط: دار طوق النجاة)

Tarjuma: Islam ki bunyad paanch cheezon par rakhi gai hai, is baat ki gawahi dena ke Allah ke siwa koi ma’abood nahi, aur yeh ke Hazrat Muhammad (S.A.W) Allah ke Rasool hain, Namaz qayam karna, Zakat ada karna, Hajj karna, Ramzan ke rozay rakhna.

Bada’ee al-Sanaee’ mein hai:”

“والدليل على فرضية صوم شهر رمضان: الكتاب، والسنة، والإجماع، والمعقول، أما الكتاب: فقوله تعالى {يا أيها الذين آمنوا كتب عليكم الصيام كما كتب على الذين من قبلكم لعلكم تتقون} [البقرة: 183] .وقوله {كتب عليكم} [البقرة: 183] أي: فرض، وقوله تعالى {فمن شهد منكم الشهر فليصمه} [البقرة: 185] وأما السنة: فقول النبي – صلى الله عليه وسلم – «بني الإسلام على خمس: شهادة أن لا إله إلا الله، وأن محمدا رسول الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، وصوم رمضان، وحج البيت من استطاع إليه سبيلا» وقوله – صلى الله عليه وسلم – عام حجة الوداع: «أيها الناس اعبدوا ربكم وصلوا خمسكم وصوموا شهركم وحجوا بيت ربكم وأدوا زكاة أموالكم طيبة بها أنفسكم تدخلوا جنة ربكم» وأما الإجماع: فإن الأمة أجمعت على فرضية شهر رمضان، لا يجحدها إلا كافر”.

(كتاب الصوم، ج:2، ص75، ط: دار الكتب العلمية)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Ref: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No
 144309100920