Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:: Abhi Ramzan ka mahina hai, aur moazzin subah ki azan taqriban 30 minute pehle de deta hai, jabke ufuq par abhi andhera chaaya hua hota hai, to kya is ke baad khana peena jaiz hai?
Jawab:
Wazeh rahe keh sehri ka waqt subah saadiq tak hota hai, aur subah saadiq hotay hi sehri ka waqt khatam hokar, fajr ki namaz ka waqt daakhil hojata hai; lehaza surat-e-mas’oolah mein jab tak subah saadiq na hua ho, saail khaa, pee sakta hai, lekin fajr ki azaan ka waqt choonkeh subah saadiq ke baad shuru hota hai, is liye azaan agar subah saadiq hone ke baad di gayi to azaan ke waqt ya azaan ke baad khaanay peenay ki ijazat nahi hogi aur agar subah saadiq ka waqt hone se pehle azaan di gayi to azaan ke baad bhi subah saadiq hone tak khaanay peenay ki ijazat hogi.
Dalail:
بدائع الصنائع میں ہے:
“ولأبي حنيفة ومحمد ما روى شداد مولى عياض بن عامر أن النبي – صلى الله عليه وسلم – قال لبلال «لا تؤذن حتى يستبين لك الفجر هكذا» ، ومد يده عرضا؛ ولأن الأذان شرع للإعلام بدخول الوقت، والإعلام بالدخول قبل الدخول كذب، وكذا هو من باب الخيانة في الأمانة، والمؤذن مؤتمن على لسان رسول الله – صلى الله عليه وسلم -، ولهذا لم يجز في سائر الصلوات؛ ولأن الأذان قبل الفجر يؤدي إلى الضرر بالناس؛ لأن ذلك وقت نومهم خصوصا في حق من تهجد في النصف الأول من الليل، فربما يلتبس الأمر عليهم، وذلك مكروه.”
(كتاب الصلوة،فصل بيان وقت الأذان والإقامة،١٥٤/١،ط:دارالكتب العلمية)
فتاوی ہندیہ میں ہے:
“ووقته من حين يطلع الفجر الثاني، وهو المستطير المنتشر في الأفق إلى غروب الشمس وقد اختلف في أن العبرة لأول طلوع الفجر الثاني أو لاستطارته وانتشاره فيه. قال شمس الأئمة الحلواني القول الأول أحوط والثاني أوسع هكذا في المحيط، وإليه مال أكثر العلماء كذا في خزانة الفتاوى في كتاب الصلاة.”
(كتاب الصوم ،الباب الأول في تعريفه وتقسيمه وسببه ووقته وشرطه،١٩٤/١،ط:ماجدية)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Fatwa No: 144409100768
Fatwa Center: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Related Hash Tags:
#RamzaanAzaanTime
#AzaanBeforeMeal
#RamzaanEtiquettes
#TimeForIftaar
#AzaanReminder
#RamzaanBlessings
#MealAfterAzaan
#RamzaanRoutine
#AzaanAndFeasting
#RamzaanManners
Same Searcheing queries:
Ramzaan mein waqt se pehle azaan dene ke baad khaane, peene ka hukm:
1. Azaan ke baad khaane, peene ka hukm
2. Ramzaan mein waqt se pehle azaan ke baad khaane, peene ka tariqa
3. Azaan ke baad khaane, peene ka masla
4. Ramzaan mein waqt se pehle azaan dene ke baad khaane, peene ki fazilat
5. Azaan ke baad khaane, peene se roza toot jaata hai?
6. Ramzaan mein waqt se pehle azaan ke baad khaane, peene ka shar’i hukm