Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
Kya koi Ramadan ke qaza rozay ki niyat kar ke bila kisi sharai uzr ke tor de to jaiz hai ya nahi? Aur kya is rozay par bhi qaza ya kaffara lazim hoga? Ya raat ko sotay waqt qaza rozay ki niyat kar li aur sehri mein neend na khuli aur subah mein bila kisi sharai uzr ke rozay tor de to kya hukam hai? Dono soraton ko wazahat kar dijiye.
Jawab:
Bismillah’hir’rahman’nir’raheem
1: Ramazan ke qaza roze ki niyat kar ke bila kisi shari ‘udhr ke torhna jaiz nahi hai; lekin agar rozah torh dia to sirf qaza wajib hogi, kaffarah wajib nahi hoga.
2: Agar raat ko sotay waqt qaza roze ki niyat kar li aur phir sehri mein aankh nahi khuli, to subah sadqay ka waqt khatam hote hi rozah shuru hojayega, isliye bila shari ‘uzhr ke rozah torhna jaiz nahi hoga aur agar rozah torh dia to qaza wajib hogi, kaffarah wajib nahi hoga.
قال الحصکفی: (أو أفسد غير صوم رمضان أداء) لاختصاصها بهتك رمضان ۔ قال ابن عابدین: (قوله: أداء) حال من صوم وقيد به لإفادة نفي الكفارة بإفساد قضاء رمضان لا لنفي القضاء أيضا بإفساده۔ ( الدر المختار مع رد المحتار: ۲/۴۰۴، دار الفکر، بیروت )
قال الکاسانی:وأما وجوب الكفارة فيتعلق بإفساد مخصوص وهو الإفطار الكامل بوجود الأكل أو الشرب أو الجماع صورة ومعنى متعمدا من غير عذر۔(بدائع الصنائع: ۲/۹۸، دارالکتب العلمیۃ، بیروت )
ووقت النية كل يوم بعد غروب الشمس، ولا يجوز قبله كذا في محيط السرخسي۔ (الفتاوی الہندیۃ: ۱/۱۹۵، دار الفکر، بیروت )
یستفاد: ولو نوی من اللیل ثم رجع عن نیتہ قبل طلوع الفجر صح رجوعہ في الصیامات کلہا کذا في السراج الوہاج ۔ (الفتاوی ا،لہندیۃ : ۱/۱۹۵،کتاب الصوم،دار الفکر، بیروت)
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 941-352/D-Mulhaqa=11/1443