Ramzan ke Roza torne ka kaffara – Islamic Sawal o jawab

By Abdullah

Roza torne wale ke mutaliq kaffara ke masaail

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal: Maulana Sahib! Ye bataye ke qaza rozay ke badle mein to sirf ek roza rakhne ka hukm hai, lekin kaffara ki sorat mein saath maskeenon ko jo khana khalane ka hukm hai uske bare mein wazahat karein ke saath maskeenon ka ekhata khana khalane ka hukm hai ya phir ek waqt ke khane ka hisab lagakar itni hi raqam 60maskeenon mein taqseem ki jaye ya phir khana khalane ka hi hukm hai? Mislain, 5 rupay fi kis fi khane ke hisab se saath maskeenon mein raqam taqseem ki jaye?

Jawab:

Kaffara ke masaail mandarjazil hain:

1: Jo shakhs rozay rakhne ki taqat rakhta ho us ke liye roza torne ka kaffara do mahinay ke pay darpay rozay rakhna hai, agar darmiyan mein ek roza bhi chhoot gaya to dobara naye sere se shuru kare.

2: Agar chaand ke mahine ki pehli tareekh se rozay shuru kye thay to chaand ke hisab se do mahinay ke rozay rakhe, khwah yeh mahinay 29, 29 ke hon ya 30, 30 ke, lekin agar darmiyan mahine se shuru kye to saath din poore karna zaroori hain.

3: Jo shakhs rozay rakhne par qadir na ho woh saath maskeenon ko do waqt ka khana khalaye ya har maskeen ko sadqa-e-fitr ki miqdar ka ghalla ya us ki qeemat de de.

4: Agar ek Ramadan ke rozay kayi dafa tore to ek hi kaffara lazim hoga, aur agar alag-alag Ramadano ke rozay tore to har rozay ke liye mustaqil kaffara ada karna hoga.

5: Agar miyan biwi ne Ramadan ke rozay ke darmiyan sohbat ki to dono par alag-alag kaffara lazim hoga.

Qasdun Ramadan ka roza tor diya to qaza aur kaffara lazim hain.

Sawal

Molana Sahib! Agar kisi ne jaan boojh kar roza tor diya to us ka kaffara kya hai? Kaffara kis tarah ada kiya jaye, lagatar rozay rakhna zaroori hain?

Jawab

Ramadan Sharif ka roza torne par qaza bhi lazim hai, aur kaffara bhi.

Ramadan Sharif ke rozay torne ka kaffara yeh hai ke lagatar 2 mahinay ke rozay rakhe, darmiyan mein waqfa karna durust nahin, agar kisi wajah se darmiyan mein 1 din ka roza bhi reh gaya to dobara naye sare se shuru kare, yahan tak ke 2 mahinay ke rozay baghair waqfe ke poore ho jayen.

Aur jo bimari, kamzori ya burhape ki wajah se rozay rakhne par qadir nahi ho, woh 60 maskeenon ko do waqt ka khana khilaye.

Qasdun khane peene se qaza aur kaffara dono lazim honge.

Sawal:

Jo aadmi Ramadan ke rozay ke doran qasdun kuch kha pi le, kya us ka roza tut jata hai? Agar tut jata hai to sirf qaza hogi ya kaffara bhi?

Jawab:

Agar kisi ne Ramazan Sharif ka roza jaan boojh kar tor diya, maslan: qasdun(jaan bojh kar) khana khaliya ya pani pi liya ya wazifa-e-zaujiyat (Biwi se humbistri) ada kar liya to us par qaza aur kaffara dono wajib hain.

Ankho main Surma lagane aur sar ko tail lagane wale ne samjha ke roza toot gaya, phir kuch khaya to qaza aur kaffara dono honge

Sawal:

Main roze se tha, aur sar ko tail laga liya, kisi ne kaha ke sar ko tail lagane se roza toot gaya, maine khana khaya, ab kya mere upar sirf qaza hai ya kaffara bhi?”

Jawab:

Agar roze mein sarmaya lagaya ya sar mein tail lagaya aur phir ye samajh kar ke uska roza toot gaya hai, kuch khaaya to is surat mein qaza aur kaffara dono wajib honge.

2 rozay torne wala shakhs kitna kaffara dega

Sawal:

Mujh par 2 rozay torne ka kaffara tha, jis mein se main ne ek rozay ka kaffara ada kar diya hai, jo 60 muskino ka do waqt khana ya fi kis 2 seer anaj hai,

ab poochna ye hai ke kya doosray rozay ka kaffara bhi isi tarah ada karna hoga jabke main ne ye kaffara taqreeban 30saal baad ada kiya hai, aur ye anaj mein ne aate ki surat mein taqseem kiya hai, aur is ki taqseem mein kaafi diqqat paish aayi kyun ke bhikari aur muskin mein imtiyaz bohat mushkil hogaya tha, kya anaj ke badle is ki qeemat ada kar sakte hain?

Jawab:

Ramzan Mubarak ka roza tor dene par jo kaffara laazim hai, wo ye hai ke 2 mahinay ke pey dar pey rozay rakhe, jo shakhs rozay rakhne ki taqat rakhta ho us ke liye 60bmuskino ko khana khila dena kaafi nahi.

Haan! Jo shakhs rozay rakhne ki taqat nahin rakhta ho wo 60muskino ko khana khilaaye.

Agar donon rozay ek hi Ramzan ke thay to donon ka kaffara ada hogaya, aur agar alag-alag do Ramzan ke thay to doosray ka kaffara alag ada karna hoga.

Masakeen ko talash karne ki khawah makhwaah zehmat ki, kisi deeni madrassah mein itni raqam bhej di jaye ke taleba ko khilaya jaaye.

Roza daar ne agar Biwi se Sex kar liya to is par kaffarah laazim hoga.

Sawal:

Ek shakhs ki shadi hui aur Ramazan aagya, din mein miyaan biwi akele howe tu, unhon ne Humbistri kar li, aur is tarah taqreeban 4 din Humbistri ki, surat-e-mas’ala mein qaza o kaffarah ikhate hojayenge ya alag alag hosakten hain?

Ab kya kaffarah ki surat mein unko 4×60 = 240 masakeenon ko khana khilana hoga aur aise hi roze ki surat mein 240 roze rakhne honge?

Jawab:

1st: Qaza rozay to jab chaahen rakh sakte hain, magar kaffarah ke rozay jab shuru karen to musalsal hon, agar darmiyan mein waqfa hogaya to phir naye sare se shuru karen, albata aurat ko haiz ki wajah se jo waqfa karna pare woh maaf hai.

2nd: Agar pehle rozay ka kaffarah nahin diya tha to sab ke liye ek hi kaffarah kaafi hai, magar 60 masakeenon ko khana khilane ki ijazat is surat mein hai ke jabkeh aadmi rozay rakhne par qadir na ho.

Roze ke doraan agar miyaan biwi ne sohbat karli to kaffarah donon par laazim hoga.

Sawal:

Aaj se taqreeban 15 saal pehle hum miyaan biwi rozay ki haalat mein thay ke shaitan sawaar hogya, aur hum ne hum bistari karli, Molana! Allah humara gunah maaf karen, aisa 1 martaba nahin, 3martaba hua,

2 martaba subah 9 bajay se pehle hua, hum ne sehri khaakar niyat karli thi, magar hum bistari se pehle yeh tay kiya ke aaj rozah nahin hai, Balkeh main ne apni biwi se yahan tak kaha ke agar is niyat ke bawajood rozah tutne ka gunah hogaa to main kaffarah de doon ga.

Aur aik martaba dopahar ke waqt ghaleban aik baje aisa hua, woh jawani ke din thay aur hamein tanhaai munsar thi.

Ab yeh khayal mere aur meri biwi ke liye sohan-e-rooh bana hua hai, main yeh bhi wazah kardoon ke hum ne abhi tak kaffarah nahi diya, ab main gunahgaar aur aajiz banda aap se yeh daryaft karna chahta hoon ke is gunah ka kaffarah kya hai?

Kya yeh dono taraf se hoga ya aik faariq ki janib se? Aur kitna? Aur agar is ka kaffarah jaisa main ne parha hai masakeenon waghaera ko khilana hai to masakeenon ki adam dastiabi ki surat mein aya itni raqam ya khaana kisi yateem khane mein bheja ja sakta hai?

Jawab:

Aap dono par in rozon ki qaza bhi laazim hai aur jaan boojh kar roza torne ki bina par kaffarah bhi laazim hai.

Agar aap dono roza rakhne ki taqat rakhte hain to dono ke zimmah 60 din ke pay darpay rozay rakhna laazim hai, aur agar rozay rakhne ki taqat nahi hai to aap dono 60,60 masakeenon ko khana khilayen,

agar masakeen munsar nahi hon to kisi madrassah ya yateem khane mein raqam jama karaden aur un ko wazah kardain ke yeh kaffarah-e-saum ki raqam hai.

Jaan boojh kar roza torne wale par kaffarah laazim hoga.

Sawal:

Agar jaan boojh kar (bhook ya piyaas ki wajah se) roza tora jaye to us ka kaffarah kis tarah ada kiya jaye ga?

Jawab:

Agar koi shakhs kamzor ho aur bhook piyaas ki wajah se zindagi ka khatra lahaq hojaye to roza khol dena jaiz hai,

aur agar aisa nahi hai to kaffarah or qaza dono lazim hain, Kaffara yeh hai ke do mahine ke roze pe darpay rakhe, aur agar iss ki taqat nah ho to saath miskeenon ko do waqt ka khana khilaye.

Bemari ki wajah se kaffara ke roze darmiyan se rah jayen to poore dobara rakhen ge.

Sawal:

Kisi ke zimma kaffare ke roze hon, usne kaffare ke roze shuru kiye, darmiyan mein bemar hogaya, ab poochna yeh hai ke kya phir se do mahine ke roze poore karna hon ge?

Jawab:

Agar bemari ki wajah se kaffare ke kuchh roze darmiyan mein rah gaye to tandrust hone ke baad naye sare se 2mahine ke roze poore kare, isi tarah aurat ke nifas ki wajah se kaffare ke kuchh roze darmiyan mein rah gaye hon to woh bhi naye sare se saath roze poore kare.

Reference of book: Aap kay masail or un ka Hala vol-03
Book Writer: Hazrat Molana yousaf ludhyanvi shaheed RH

Ye be Parhen: Roze ke 26 mukhtalieef Sawal or un ke jawab – islamic Masail