Roza rakhne se wazn ka km hona

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Roza Rakhne Se Ager Wazan km hojaye Tu Kiya Sawab Nahi mely ga?

Mera Sawal Ye Hai Ky Balughat Se Ab Tak ,Jab Meri Umer 30 sal Ho Gai Hai.

Or 3 Sal Ky Ak Bachy Ki Maa Bi Hon, Tu Is Doran Mere Ramzan Ky Roze Kaza howe jo Kaza Rozy Abi Rakh Rahi Han Tu Ab Takreban 4 Maah Ky Rozy Hy Jo Mere Kaza Shuda Hain.

Ab Ak month Hogaya Lakin Ab Jab Rozon Ki waja Se Mere Wazan km Gaya,

Tu Dil Me Khushi Huwi Ky Ramzan Ki Waja Se Mera Wazan Km Hogaya Pir Mere Dil Me Khayal Aya K Shayad Me Wazan Gatany Ky Liya He Rozy Rakh Rahi Thi Tu

Aya Ase Sorat Me Kiya Mere Tamam Wo Rozy Zaya Hogyw..? Kiya Muje Dubara Se Roza Rakhne Paren gye..?

Jawab

Bismillah Hir’rahman Nir’rahim.

Ap ne Ager Kaza Ki Niyat Se Roze Rakhe Hain..

Wazan Ghatane Ki Niyat Se Nahi, Or Isky Natije Me Khud Wazan km Ho Gaya Tu Fiker Ki Bat Nahi, Ap Ky Rozy Sahi Hongay.

Un Ko Dobara Rakhny Ki Zarorat Nahi Jo Rozay Baqi Hain Un Ko Ikhlas-e-Niyat Ky Sath Pure Karlen.

Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 813-628/M=07/1443