Ramzan main Raat ko humbistari ki ijazat ki Ayat ka nazuol
Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Hamare office mein ek sahib ne kaha ke jab roze farz hue thay to sath hi yeh shart thi ke poore Ramzan sharif, yaani poore mahine Ramzan ke meyan biwi hum bisteri nahin kar sakte, magar baad mein kuch logon ne is hukum ki khilaf warzi ki, jis ki wajah se Anhazrat Salallahu Alaihi Wasallam par wahi nazil hui aur phir Isha ki namaz ke baad se lekar Sehri tak ijazat di gayi. In sahib ka kehna hai ke yeh ghalti Hazrat Umar Farooq (RA) se sarzad hui thi, aur is par wahi utri, kya waqai Hazrat Umar (RA) se ghalti hui thi?
Jawab:
Poore Ramzan mein miyan biwi ke ikhtilat par pabandi ka hukm to kabhi nahin hua, albatta yeh hukm tha ke sone se pehle pehle khana peena aur humbistri karna jaiz hai, soo jane se roza shuru ho jayega, aur agle din iftar tak roze ki pabandi laazim hogi, aap ka ishara ghaleban issi ki taraf hai.
Aap ne Hazrat Umar (RA) ke jis waqiyay ka hawala diya hai woh sahi hai, aur Sahih Bukhari Sharif mein hai ke iss noyati ka waqiyah mutadid hazraat ko paish aya tha, lekin iss waqiyay se Sayyidina Umar (RA) ya doosre Sahaba (RA) par koi aitraz nahin hota, balkay in hazraat ki aik azim fazeelat aur buzurgi sabit hoti hai,
iss liye ke in hazraat ko Allah Ta’ala ne quwwat-e-qudsiyya ata farmai thi, aur woh batoofiqa-e-ilahi zubt-e-nafs se kaam bhi le sakte thay, lekin aap zara socheye ke agar Anhazrat (SAW) ke zamane mein aisa koi waqiyah nahin paish ata aur qanoon yahi rehta ke isha ki namaz ke baad se khana pena aur biwi ke paas jana mamnoo hai, to baad ki ummat ko kis qadar tangi lahaq hoti?
Yeh Allah Ta’ala ki rehmat aur inayat thi ke Anhazrat (SAW) ke mubarak dor mein aise waqiyat paish aye ke in ki wajah se poori ummat ke liye aasani peda hui, iss liye yeh hazraat laiq-e-malamat nahin, balkay poori ummat ke mohsin hain.
Jis aayat ka aap ne hawala diya hai woh Surah Baqarah ki aayat 187 hai, iss mein Allah Ta’ala farmate hain:
“Tum logon ke liye roza ki raat mein apni biwiyon se milna halal kar diya gaya, woh tumhara libaas hain aur tum unka libaas ho, Allah ko ilm hai ke tum apni zaat se khayanat karte the so Allah ne tum par inayat farmadi, aur tum ko tumhari ghalti maaf kardi…”
Quran-e-Kareem ke asal alfaz aap Quran Majeed mein parh lein, aap ko sirf iss taraf tawajjah dilana chahta hoon ke Allah Ta’ala ne Sahaba-e-Karam ki iss ghalti ko “apni zaat se khayanat” ke sath ta’beer karke foran un ki touba qabool karne, un ki ghalti maaf karne aur un par nazar-e-inayat farmane ka ilan bhi sath hi farmadiya hai, kya iss ke baad un ki yeh ghalti laiq-e-malamat hai?
Nahi…! Balkay yeh un ki maqbooliyat aur buzurgi ka prwana hai. Umeed hai ke yeh mukhtasir sa ishara kafi hoga, warna iss masle par ek mustaqil mazmoon likhne ki gunjaish hai, jis ke liye afsos hai ke fursat muthamal nahin.*
Rozay wala laghviyat chor de
Sawal:
Youn to Ramadan ul Mubarak mein Musalmanon ki aik bari aksariyat rozay rakhti hai, lekin kuch log rozay rakhne ke baad galat harkatein karte hain,
maslan: kisi ne rozay rakha aur dopahar ko 11baje se 2baje ya seh par ko 3baje se 4baje tak ke liye kisi cinema house mein film dekhne chala gaya, kisi ne rozay rakha aur sara din sota raha, aur koi rozay rakhne ke baad sara din taash, kerm ya koi aur khail khelta raha, ya phir sara din koi jasoosi ya romanvi novel parhta raha hai, aur in tamam baton ki wajah se har shakhs baghair kisi sharam aur khof-e-khudawandi ke ye batata hai ke bhai kya karein? Aakhir time bhi to paas karna hota hai, 3 ghante film dekhne, sara din sone ya taash wagaira khulne se time guzar jata hai, aur rozay ka pata hi nahin chalta.
Muta’arim! Rozay rakhne ke baad rozay ki wajah se gunah karne se behtar kya ye na ho ga ke rozay rakha hi na jaye?
Jawab:
Aap ka ye nazriya to sahi nahin ke “rozay rakha kar gunah karne se behtar kya ye na ho ga ke rozay rakha hi na jaye”.
Ye baat hikmat-e-sharaiya ke khilaf hai. Shariah, rozay rakhne walon se ye matlooba zaroor kerti hai ke woh apne rozay ki hifazat karein, aur jab unhon ne Allah Ta’ala ki raza ke liye apna khana pena tak chor diya hai to be-lazzat gunahon se bhi ihteraz karein.
Roza rakhne ki ibadat ka maqsad hai Allah Ta’ala ki raza hasil karna aur gunahon se bachna. Roza rakhne wale ki niyyat saaf honi chahiye aur usay apne roze ke sawab ko zaya nahi karna chahiye. Lekin shariah yeh nahi kehti hai ke jo log gunahon ko karne wale hote hain woh rozay hi nahi rakh sakte.!
Aapne jin umoor ka tazkira kiya hai, yeh rozay ki rooh ke manafi hain, rozadar ko sakht inse parhez karna chahiye.
Waqia yeh hai ke Ramadan Mubarak ke mamoolat aur rozay ke aadaab ki pabandi ke saath agar mah-e-mubarak guzaar diya jaye toh aadmi ki zindagi mein inqilab aasakta hai, jis ki taraf Quran-e-Kareem ne ‘La’Alakum Tattaqoon’ ke chhotay se alfaaz mein ishaara farmaya hai.
Aan Hazrat ﷺ ne rozay daar ko parhez ki bohat hi taakeed farmayi hai.
Ek hadees mein hai ke:
“Bohat se raat mein qayam karne wale aise hi hote hain jin ko ratjage ke siwa kuch nahi milta, aur bohat se rozadar aise hi hote hain jin ko bhook pyaas ke siwa kuch nahi milta.”
Ek aur hadees mein hai ke:
“Jo shakhs jhoot bolne aur galat kaam karne se baaz nahi aata, Allah Ta’ala ko us ka khana peena chhodane ki koi zaroorat nahi.”
Akaabir-e-ummat ne rozay ke bohat se aadaab irshaad farmaye hain, jin ka khulasa mere Hazrat Sheikh Maulana Muhammad Zakariya Kandhlawi Thumma Madani (Noorullah Marqadah wa Taaba Tharah) ke risalah ‘Fazail-e-Ramadan’ mein dekha jasakta hai. Ramadan Mubarak mein yeh risalah aur is ka tatimmah ‘Akaabir ka Ramadan’ zarur zair-e-mutalia rehna chahiye.
Note: Aapne laghviyat ke zamn mein soye rahne ka bhi zikr farmaya hai, lekin rozay ki halat mein sona makrooh nahi, is liye aapke sawal mein yeh alfaaz laiq-e-islah hi hain.”
Roza daar ka roza rakh kar television dekhna.
Sawal…
Ramazan ul Mubarak mein iftar ke qareeb jo log television par mukhtalif program dekhte hain, Masln: English film, music ke program wagairah, to kya iss se roze mein koi farq nahi aata? Jabkeh humaray haan ‘Unanswereds’ khawateen hoti hain, aur har program mein bhi aurtein zaroor hoti hain. Iss zamana mein aik baat ye ke jo molana sahib iftar ke qareeb taqreer (television par) farmatay hain, aur musalman bahu betiyan jab unhein dekhti hain to kya roza barqarar rahe ga? Aur ye kis tarah qaabil e giraft nahi ho ga?
Jawab…
Roza rakh kar gunaah ke kaam karna, rozay ke sawaab aur is ke faiday ko batil kardeta hai, television ki islaah to aam logon ke bas ki nahi, jin musalmanon ke dil mein Khuda ka khof hai woh khud hi is gunaah se bachen. (km az km ak is paak month main apne ghar se in shetani aalat or awazon ko bahir nikal dia jaye. jase ham pura saal quran ko ghelaaf main lapeet kar apni nazro se door rakhte hain. asl main ye kaam TV or dosre shetaani aalat ke sath karna chahiye or Quran ko Tepai par rakh kar har time apni nazro ke samne rakhen)
Kya bachon ko roza rakhna zaroori hai?
Sawal…
Aksar waliden bara saal se kam umr ke bachon ko roza rakhne se mana karte hain, kyunkeh agar woh roza rakhte hain to bhook aur piyaas khas tor par bardasht nahi kar sakte, jabkeh bachay shoqia roza rakhne par issrar karte hain, neez roza kiss umr mein farz hojata hai?
Jawab:
Namaz aur roza dono baaligh par farz hain, agar buloogh ki koi alamat zaahir na ho to pandrah saal poore hone par aadmi baaligh samjha jata hai. Nabaloogh bacha agar roze ki bardasht rakhta ho to iss se roza rakhwana chahye, aur agar bardasht nahi rakhta ho to mana karna durust hai.
Asr aur Maghrib ke darmiyan “Roza” rakhna kaisa hai?
Sawal…
Meri aik saheli jo kisi ke kehne ke mutabiq asr aur maghrib ke darmiyan waaqifay ke doraan mukhtasar roza rakhthi hain, jiski unhone wajah batayi ki baad marnay ke farishtay murday ko koi aisi cheez khelaye ga jo murday ke liye baa’is-e-azab hogi, jo shakhs is doran roza rakhay ga woh khana se inkaar kar dega, kya yeh mukhtasar roza shariat ke mutabiq jaiz hai?
Jawab:
Shari roza to subh-e-sadiq se maghrib tak ka hota hai, asr aur maghrib ke darmiyan roza rakhna shariat se sabit nahi, aur jo wajah batayi hai woh bhi mangharat hai, aisa aqeeda rakhna gunah hai.
Asr aur maghrib ke darmiyan roza aur daswee Muharram ka roza rakhna kaisa hai?
Sawal…
Aik martaba aik sahiba ne farmaya ke main ne roza rakha hai, hum ne tafseel poochi to unhone kaha ke roza asr ki azaan se le kar maghrib ki azaan tak ka,
jab hum ne aise rozay rakhne ke wujood ka inkaar kiya to hum ko us ne zabardast danta aur kaha ke tum parhe likhe jangli ho, tumhein yeh bhi nahi maloom tha.
Jawab:
Shariat-e-Mohammadiyah mein to koi roza asr se maghrib tak nahi hota, in sahibah ki koi apni shariat hai to main uss se bekhbar hoon.
Sawal…
Phir unhon ne mazeed bayan karte huwe farmaya ke daswee Muharram ka roza rakhna jaaiz nahi, kyunke Shamir ki maa ne mann’at maani thi ke Shamir, Hazrat Imam Husain ko shaheed kare ga to main daswee Muharram ka roza rakhon gi, aur iss ne daswee Muharram ko roza rakha tha.
Jawab:
Ashura Moharram ki dasvi tarikh ka naam hai, Anbiya-e-guzashta ke zamane se yeh din mubarak chala aata hai. Ebtida-e-Islam mein is din ka roza farz tha, baad mein is ki jagah Ramzan ke rozay farz hue, aur Ashura ka roza mustahab raha. Behrhal is din ke rozay aur aur dosray aamaal ko Hazrat Hussain (RA) ki shahadat se koi talluq nahin, aur iss khatoon ne Shamir ki waldah ki jo kahani sunai woh bilkul mun ghairat hai.
5 din roza rakhna haram hai.
Sawal:
Hamare halqay mein aaj kal bohat bate ho rahi hain ke roze in 5 din haram hain (saal mein) 1) Eid-ul-Fitr ke pehle din, 2) Eid-ul-Fitr ke dosray din, 3) Eid-ul-Adha ke din, 4) Eid-ul-Adha ke teesray din. Halankeh jahan mujhe maloom hua hai ke Eid ke dosray din (Eid-ul-Fitr) roza jaiz hai, asal baat wazeh keejeye.
Jawab:
Eid-ul-Fitr ke dosray din roza jaiz hai, aur Eid-ul-Adha aur iss ke baad teen din (ayyam-e-tashriq) ka roza jaiz nahi hai. Goya, 5 din ka roza jaiz nahi: Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Adha, iss ke baad teen din ayyam-e-tashriq.
Sawal:
Kya ameer, ghareeb aur azeez ko iftar karwane ka sawab barabar hai?
Sawal:
Ameer, ghareeb, azeezan teenon mein sab se ziyada fazilat (sawab) iftar karwane ki kis mein hai?
Jawab:
Iftar karwane ka sawab to yaksan hai, ghareeb ki khidmat aur azeez ke sath husn-e-sulook ka sawab alag hai.
Hazoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka roza kholne ka mamool
Sawal:
Ramazan ul Mubarak mein Hazoor Sallallahu Alaihi Wasallam kis cheez se roza kholte thay?
Jawab:
Aamuo’mn khajoor ya pani se.
Tambaku ka kaam karne wale ke roze ka hukm
Sawal:
Mein aik beri ka karigar hun, beri ke kaam mein tambaku bhi chalta hai, chand logon ne mujh se farmaya ke aap roze mein yeh kaam karte hain chunkay tambaku nasha aawar cheez hai, lehaza aap ka roza makrooh ho jata hai, kya yeh sahi hai?
Jawab:
Tambaku ka kaam karne se roza makrooh nahi hota, jab tak tambaku ka ghubar halq ke neechay na jaye.
Roza daar ka masjid mein sona
Sawal:
Kya roza daar ka Fajr ki namaz ada karne ke baad masjid mein sona jaiz hai?
Jawab:
Ghair-mutatakkif ka masjid mein sona makrooh hai, jo hazrat masjid mein jayein woh i’tikaf ki niyat kar liya karein, is ke baad unke sone ki gunjaish hai.
Roze ki halat mein baar baar ghusal karna
Sawal:
Kya roze ki halat mein din mein kayi baar ghar mein nahana aur is ke alawah nahr mein nahaayein, lekin baqi doosri burayiyon se bacha rahe, to kya roze ka sawab pura hasil hoga?
Jawab:
Roze mein nahaane ka koi harj nahin, lekin aisa andaaz ikhtiyaar karna jis se ghabrahat aur pareshani ka izhaar ho, hazrat Imam (RA) ke nazdeek makrooh hai.
Napaak aadmi ne agar sehri ki to kya roza hojayega?
Sawal:
Agar kisi par raat ke doran ghusl wajib hojayega to is janabat ki halat mein sehri karsakta hai ya nahi?
Jawab:
Halat-e-janabat mein sehri ki to roza hojayega, aur is mein koi tardad nahin, lekin insan jitni jaldi hosake paaki hasil karle.
Napaaki ki halat mein roza rakhna
Sawal:
Main bimaar hoon jiski wajah se main mahine mein teen chaar baar napak rehta hoon, ab aap se guzaarish hai ke kya main napaki ki haalat mein roza rakh sakta hoon jab ke main ne ek namaaz ki kitaab mein parha tha ke agar napaki bimaari ki wajah se ho to wazu se door ho jaati hai? Aap yeh irshaad farmayen ke main kya wazu karke roza rakh sakta hoon? Waise to main roz ghusl karta hoon, lekin roza rakhate waqt aur fajr ki namaaz se pehle to ghusl nahi kar sakta, ummeed hai aap tasalli bakhsh jawaab denge.
Jawab:
Napaki ki haalat mein haath munh dhookar roza rakhna jaiz hai, ghusl baad mein kar liya jaye, koi harj nahi.
Sawal:
Agar kisi par raat ko ghusl wajib hogaya lekin na usne subah ghusl kiya aur na din bhar kiya, aur iftari bhi isi haalat mein kiya, to aise shakhs ke roze ke liye kya hukm hai?
Jawab:
Roze ka farz to adaa hojayega, lekin aadmi napaki ki wajah se gunahgar hogaya, ghusl mein itni takheer karna ke namaaz foot hojaye sakht gunah hai.
6 eid ke roze rakhne se ramzaan ke qaza roze ada nahi honge
Sawal:
Kya shawaal ke 6 roze doosre din se rakhne chahiye? Yani pehla shawaal ka roza har haal mein shawaal ki do taareekh ko rakha jaye, baqi roze poore mahine mein kisi din rakhe jasakte hain? Is ki bhi wazahat karein ke yeh roze rakhne se ramzaan ke chhote hue roze ada hojate hain?
Jawab:
Yeh masla jo aam mein mashoor hai ke “shash eid ke liye eid ke dosray din roza rakhna zaroori hai” bilkul ghalat hai, eid ke dosray din roza rakhna koi zaroori nahi,
balkay eid ke mahinay mein, jab bhi chheh rozay rakh liye jayen, khawah lagatar rakhe jayen ya mutarik tar par, poora sawab mil jaye ga, balkay baaz ahle ilm ne to eid ke dosray din roza rakhne ko makrooh kaha hai, magar sahi yeh hai ke makrooh nahi, dosray din se bhi shuru karsakte hain.
Shawwal ke chheh rozay rakhne se Ramazan ke qaza rozay ada nahi honge, balkay woh alag rakhe honge, kyun ke yeh naflay rozay hain, aur Ramazan ke farz rozay, jab tak Ramazan ke qaza rozon ki niyyat nahi kare ga, woh ada nahi honge
6 month raat aur 6month din walay ilaqay mein roza kis tarah rakhain?
Sawal:
Duniya mein aik jagah aisi hai jahan chheh mah raat hoti hai aur chheh mah din hota hai, to wahan musalman Ramazan ke poore rozay kaise rakhenge?
Jawab:
Woh apnay qareeb tareen mulk jahan din raat ka nizam mamool ke mutabiq ho, us ke taloo aur gharoob ke eitbaar se roza rakheinge.
Saheri khane ke baad sone mein harj nahi, bashartekah jamaat na chhote.
Sawal:
Saheri khane ke baad sojana makrooh hai ya nahi? Mein ne suna hai ke saheri ke baad sona makrooh hai.
Jawab:
Saheri aakhri waqt mein khana mustahab hai, aur saheri ke baad sojana mein agar fajr ki jamaat foot hone ka andesha na ho to makrooh hai, warna nahi.
Load speaker ke zariye sehri aur iftari ki etlaa dena durust hai
Sawal:
Hamare shehar mein aam tor par Ramazan ke mahine mein sehri ke waqt masajidon mein load speaker ke zariye sehri ka elaan kya jata hai, aur is silsile mein kabhi tilawat-e-Quran bhi ki jati hai ke log sahi waqt par sehri ka intizam kar sakein, shar’aan is ka jawaaz hai?
Jawab:
Sehri aur iftar ke auqat ki etlaa dene mein koi muzaiqa nahi, lekin load speaker par elaanat ka itna shor ke logon ka sukoon ghaarat ho jaye aur is waqt koi shakhs itminan se namaz bhi na parh sake, najaaiz hai.
Muozzin roza khool kar azaan de
Sawal:
Muezzin ko roza khool kar azaan dena chahiye ya azaan ke baad rozay khoolna chahiye?
J… Rozay khool kar azaan de.
Arab mumalik se anay par tees se zayed rozay rakhna
S… Agar ek shakhs jo ke Arab mumalik mein kaam karta ho aur Ramazan ke rozay Arab mumalik ke hisaab se rakhta ho, yaani ke Pakistan se ek do roz qabal hi rozay shuru ho jatay hain, lehaza yeh shakhs Ramazan ke aakhir mein chutiyan guzaarnay Pakistan ata hai, iss shakhs ki eid hum se do roz qabal hogi, to yeh shakhs eid ki namaz ke silsile mein kya kare? Kya yeh Pakistan ke waqt ke mutabiq eid manaaye aur do din intezar kare kyunki eid Pakistan mein do din baad hai?
Jawab:
Yeh shakhs eid to Pakistan ke mutabiq hi karega, aur jab tak Pakistan mein Ramazan hai yeh shakhs rozay bhi rakhe ga, iss ke tees se zayed rozay nafil shumar honge.
Eid ul Fitr ki khushiyan kyun manate hain?
Sawal:
Ramazan ke khatam hotay hi Eid kyun manate hain?
Jawab:
Ramazan al-Mubarak aik bohat bara naimat hai, aur aik naimat nahi, balkay bohat si naimaton ka majmua hai. Allah Ta’ala ke neik banday is mahinay mein apnay Maalik ko razi karne ke liye din raat ibadat karte hain, din ko roza rakhtay hain, raat ko qiyam karte hain aur zikr o tasbih, kalimah aur durood sharif ka wird karte hain,
is liye roza daar ko roza pura karne ki bohat hi khushi hoti hai. Hadees mein farmaya gaya hai ke roza daar ko do khushiyan naseeb hoti hain, aik khushi jo use iftar ke waqt hoti hai, aur doosri khushi jo use apnay Rab se mulaqat ke waqt hogi.
Yahi wajah hai ke jab Ramazan sharif khatam hua to us se agle din ka kaam Eid ul Fitr hua, har din to aik aik rozay ka iftar hota tha,
aur us ki khushi hoti thi, magar Eid-ul-Fitr ko poore mahine ka iftar hogaya aur poore mahine ke iftar hi ki akathi khushi hui.
Dusri qoumiyan apne tehwaar khel kood mein ya fazool baaton mein guzaar deti hain, magar ahle-e-Islam par toh Haq Ta’ala Shaanahu ka khaas inaam hai ke un ki khushi ke din ko bhi ibadat ka din banaya,
chunanche Ramadan Sharif ke bakhair-o-khubi aur beshauq ibadat guzaarne ki khushi manane ke liye Allah Ta’ala ne teen ibadatein muqarrar farmayi: ek namaz-e-Eid, doosre Sadqa-e-Fitr aur teesre Hajj-e-Baitullah (Hajj agar zulhijjah mein ada hota hai, magar Ramadan-ul-Mubarak khatam hotay hi yom-e-Arafa se Mosam-e-Hajj shuru hojata hai).
Roza toot jaye tab bhi saara din roza daaroon ki tarah rahe.
S… ek aadmi ka roza toot gaya, kya ab woh kha sakta hai?
Jawab:
agar Ramadan Sharif mein kisi ka roza toot jaye tab bhi usko din mein kuch khaana peena jaiz nahi, saara din roza daaroon ki tarah rehna wajib hai.
Beemar ki taraweeh, Roza
S… agar koi shakhs bojh-e-beemari Ramadan-ul-Mubarak ke rozay nah rakh saky to woh kya kare? Neez yeh bhi farmaye ke aise shakhs ki taraweeh ka kya banega? Woh taraweeh parhega ya nahi?
Jawab:
jo shakhs beemari ki wajah se roza rakhne ki taqat nahin rakhta, use roza nah rakhne ki ijazat hai, tandrust hone ke baad rozon ki qaza rakh le, aur agar beemari aisi ho ke us se achha hone ki umeed nahin, to har rozon ke badle Sadqa-e-Fitr ki miqdar fidiyah de diya kare. Aur taraweeh parhne ki taqat rakhta ho to use taraweeh zaroor parhni chahiye, Taraweeh mustaqil ibadat hai, yeh nahi ke jo rozay rakhay wahi taraweeh parhay.
Kya ghair-muslim ko rozay rakhna jaiz hai?
Sawal:
Main Abu Dhabi mein jis camp mein reh raha hun, hamaray saath Hindu bhi rehtay hain, ek Hindu hamara dost hai, pichlay mah-e-Ramazan mein usnay bhi hamaray saath ek rozah rakha, aur hamaray saath hi baith kar iftar kiya, woh Islam ki baton mein dilchaspi leta hai, usnay apnay khandan walon ke dar se Islam qabool nahin kiya, kya uska iss tarah rozah rakhna aur iftari karna hamaray saath jaiz hai?
Jawab:
Rozay ke sahih honay ke liye Islam shart hai, ghair-muslim ka rozah us kay musalman nahin honay ki bina par qabool to nahin hoga, lekin agar iss tarah uska imkan hai ke woh musalman ho jaye ga to phir aap kay saath baith kar iftari karnay ki ejazat hai, iss ko Islam ki targheeb dijiye.
Ramazan ul Mubarak ki har ghari mukhtalif ibadat karein
S… Juma tul Wida ke din hum log kon si ibadat karein jo kay ziyada sawab ka bais ho?
Jawab:
Jumma tul Wida ke liye koi khas ibadat shariat ne fix nahin ki, Ramazan ul Mubarak ki har raat aur har din aik se aik aala hai, khasosan Juma ka din aur Juma ki raten, aur khaas al khaas Ramazan kay aakhri ashare ki raten, aur in mein bhi taq raaten. In mein tilawat, zikr, nawafil, istighfar, durood sharif ki jis qadar mumkin ho kasrat karni chahiye, khasosan yeh kalimat kasrat se parhnay chahiye:
“لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللهُ، نَسْتَغْفِرُ اللهَ، نَسْئَلُکَ الْجَنَّةَ وَنَعُوْذُ بِکَ مِنَ النَّارِ۔”
Television per shabina mawjib-e-lanat hai.
Sawal:
Ramadan ul Mubarak main ghalt salt aur kabhi kabhi bari raftaar speed ke sath ghaltiyon se pur shabina parha gaya, aur sath he bar bar fakhraya tour per kaha gaya ke poore Pakistan main Quran-e-Azim ki tilawat ki sadayen goonj rahi hain, kia yeh shabina khuda ke qahr ko nahi lalkaar raha hai? Kia masajid ko film khanon main tabdeel nahi kiya gaya?
Aap yaqeen karein jab shabina ki film bana kar television per dikhayi gayi, us waqt peeche namaz parhne walon ki tawajjuh apni film utrwanay per thi,
Khuda hum sub per reham kare, itni museebatein, pareshaniyan, afatein nazil ho rahi hain, lekin hum gunahon ke kaam ko sawaab samajh kar kar rahe hain. Masajid main itni roshni ki gayi ke bar bar is ki butiyon ki filmain nazar aaien,
kayi baar to peeche se tokne per bhi Hafiz Sahib nahin rukay, ghalt parhte chale gaye, is mubarak aur mubarak mahine main, jis main sawab naflon ka faraiz ke barabar ho jata hai, aisi raat mili jis ki ibadat hazar mahinon se bhi zyada hai, itna sawab diya gaya, lekin is ummat main yeh nazar ata hai ke 11month ke gunah, balkay is se bhi zyada is month main karte hain.
Kyunki Ramadan ul Mubarak main sawab dugna ho jata hai, agar koi gunah wala kaam kare to us ka gunah bhi dugna ho jata hai. In baton ko soch kar kabhi kabhi mere dil main yeh khayal ata hai, aur main bohat Khuda se maafi mangta hun ke aisi baat dil main na aye, Lekin har dafa dil se nikalta hai ke television par aisi aisi baatein shuru ho gayi hain jo pehle nahin thi, ab unko sawab samajh kar kya jaa raha hai, is se behtar hai ke Ramadan Shareef hi nah aayein, main ek dafa phir Khuda ke huzoor maafi ka talib hoon ke aisi baat ki. Kya aisa sochna bura hai?
Jawab:
Aaj kal aksar shabiney bohat si qabahatoun ke saath hote hain, un ki tafseel Hakeem-ul-Ummat Thanvi ki kitab “Islah-ul-Rusoom” mein dekh li ja sakti hai. Aur shabiney ka jo nqsha aap ne khincha hai woh to sarasar riakari hai, aur phir television par un ki numaish karna to mujb-e-lanat hai, Allah Ta’ala musalmanon ko aql-o-iman naseeb farmaye.
Reference of book: Aap kay masail or un ka Hala vol-03
Book Writer: Hazrat Molana yousaf ludhyanvi shaheed RH