Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal:
1: Main ne Esha ki Namaz, Terawih aur Tahajud ek pent ke sath ada ki jo ke kharab tha.
Mujhe maloom nahi tha ke pint kharab hai. Mujhe Tahajud ki Namaz ke baad maloom hua ke pent kharab hai.
Mujhe ab kya karna chahiye? Kya mujhe tamam namazain dobara ada karne ki zaroorat hai? Kya main gunahgar hoon ga keon ke main bilkul be-khabar tha. Bara-e-karam jawab den.
2: Roza ki halat main farz ghusl ke liye naak aur muh main pani dene ka tariqa kya hai?
3: Kya main Jannat-ul-Firdaus main daakhil ho jaun ga agar main gunahon se duor rahoon aur sirf farz, wajib aur sunnat-e-muakkada adda karoon koi nawafil nahi? Jazak Allah khair.
Jawab:
Bismillah’hir’rahman’nir’raheem
(1) Pent kharaab hone se muraad agar na-paak hona hai aur na-paaki ki maqdaar عفو se zaaid thi to mazkoorah namaazien nahi huein, ab Wajib or sunnat Yani taraweeh aur tahajjud ko lutana lazim nahi Q ke in ki qazza nai hai, lekin Esha ke farz aur witar ki qaza lazim hai.
(2) Roza mein ghusl farz ke doran naak, munh mein pani daalne mein mubalgha na karein, yani Naak ki narm haddi tak or halk tak pani na le kar jayen, bas jis tarah wazu ke doran khuli karte hain aur naak mein pani daaltay hain usi tarah ghusl mein karlia karein.
(3) Allah ne chaaha to zaroor Jannat main daakhil ho jayen ge, sunnat aur shariyat par amal karte rahen, gunaahon se bachte rehin, faraiz aur sunnat ke saath jis qadar ho sake nawafil ka bhi ihtimaam rekhiye aur Allah Ta’ala se dua bhi karte rehay karein Allah pak Emaan par he Khatmma farmayen.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 1074-243T/M=09/1443