Join Whatsapp Group Join NOW
Safar ke Mahene Mein Shadi Karna ka kiya hukam hai.
Sawal:
Muharram Safar Mein Shadi Karna Shariah Ki Rooh Se Kaisa Hai? Kyun ke Hamare Maashray Mein Is Mahine Ke Mutaliq Bohat Si Bid’atain Mashhoor Hain, Aur Muharram Safar Mein Hamari Shadi Mutawaqqi Hai To Aap Meher’bani Farmakar Is Maamle Par Roshni Daaliye?
Jawab:
Safar ka mahina aam mahinon ki tarah ek mahina hai, jis tarah aam mahinon mein koi nahusat nahi hai usi tarah Safar ke mahine mein bhi nahi.
Maashray mein Safar ke mahine mein jo tuhmaton ki shohrat hai, be-sand, be-daleel baat hai.
Rasool Allah ﷺ ka Irshad Hai: Kisi Cheez Mein Nahusat Nahi. Naiz Irshad Hai Ke Safar Ki Koi Hasiyat Nahi. Is Ki Sharah Mein Baaz Ahle Ilm Farmatay Hain Ke Is ka Matlab hai: Safar Ke Mahine Ke Hawalay Se Nahusat Ki Baat Jo Mashhoor Hai, Us Ki Nafi Maqsood Hai.
Naiz Shariat Mein Koi Mahina Aisa Nahi Jis Mein Shadi Se Mana Kiya Gaya Ho. Lehaza Safar Ke Mahine Mein Shadi Ya Koi Aur Kaam Shuru Karna Jaiz Hai, Is Mein Koi Haraj Nahi.
Jigar Goshah Rasool ﷺ Sayyidah tul Nisaa Fatimah-tul-Zahra رضی اللہ عنہا Ke Nikah Ke Baray Mein Ek Qoul Yeh Hai Ke Ap ki Sahbzadi Hazrat Fatima RA ka Nikah Saal 2 Hijri Safar al-Khair Ke Mahine Mein Hua hai.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref Fatwa: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town
Fatwa No: 144012200433
Fatwa: Kya Safar ke Mahine Mein Shadi Ki Ja Sakti Hai?
Sawal: Kya Safar ke Mahine Mein Shadi Ki Ja Sakti Hai? Kuch log kehte hain ke sirf Safar ke pehle 13 din sakhti ke hote hain, lekin baaz log kehte hain ke Safar ka pura mahina hi sakhti ka hota hai.
Is liye Safar ke mahine mein shadi nahi karni chahiye. Baraaye karam mujhe is ka jawab jaldi bataiye kyunki Safar ke mahine mein meri shadi ki tareekh rakhi gayi hai.
(2) Aur kya mera naam “Sunniya”, Muslim naam hai?
Jawab:
Bismillah al-Rahman al-Raheem
Na Safar ke pehle 13 dn sakhti ke hote hain na pura mahina Safar ka sakhti ka hota hai, ye be-asal baat hai, is mahine mein shadi karne mein kuch haraj nahi hai, balkay jis ilaqe mein is qisam ki be-asal aur galat baten mashhoor hoon, wahan pehle 13 Dn mein nikah karna nihayat mustahsan Acha or Aala qadam aur ziada ajr o sawab ka mojib hai.
(2) Tarz-e-Islami se hata hua hai Naam hai, behtar yeh hai ke doosra munasib naam rakhlain.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 273=210/ ھ
is Topic par Complete Research Article Parhen: Shadi or Safar ka Mahena
Fatwa: Kya Safar ke Mahine Husband Wife Saath nai reh sakte hain?
Sawal: Kya Safar ke Mahine Mein Nikah Karne Ki Mamaneat Hai? or Kya Safar ke Mahine Mein Husband Wife Ko ak Saath Nahin Rehna Chahiye?
Jawab: Muharram ke mahine mein nikah bhi kar sakte hain aur miyan biwi ek saath bhi reh sakte hain, koi mamaneat nahin. shariat e islamia me aysa koi hukam nai hai.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 41=37-1/1431
Topic: Imaan aur Aqaid, Bid'atain aur Rasoom, Rasumat, Ta'aruf aur Baaz Rasamein, Nikah / Shadi