Suhree kay waqt nuswaar lagaakar so jaane waalay kay rozay kaa hukm

By Abdullah

Join Whatsapp Group Join NOW

Sawal:: Admi sehri kare aur naswar rakhe aur namaz fajr mein se kuch minute rahte hun jab neend se bedaar ho aur pata chale rozah tha foran naswar nikaal de aur kali kar le toh us ka rozah baqi rahega ya tut gaya hai?

Jawab:

Surat-e mas’ulah mein munh mein naswar rakhne se roza tut jata hai, lehaza kisi shakhs ka sehri ke waqt munh mein naswar rakh kar so jaye aur waqt daakhil hone par bhi naswar munh mein rahe toh us se roza tut jayega, aur roza tutne ki surat mein sirf qaza lazim hogi, kaffarah nahi hoga, nayaz ghorub-e-aftab tak rozedaaron ki tarah rehna zaroori hoga.

Aap ke masail aur un ka hal mein hai:

Sawal: Mein Ramzan Shareef ke mahine mein chhaliya apne munh mein rakh kar bistar par let gaya, khayal yeh tha ke mein usko apne munh se nikal kar roza rakhunga, achank aankh lag gayi, aur neend ghalib agayi, jab sehri ka time nikal chuka tha, us waqt bedari hui phir chhaliya apne munh se nikal kar phenk diya aur kali karke roza rakh liya, kya mera roza hogaya?

Jawab: Roza nahi hua, sirf qaza karein.

(Kon cheezon se roza tutta hai, Anwaan: Sehri khatam hone se pehle koi cheez munh mein rakh kar so gaya toh rozay ka hukam, J:4, S:576, T:Maktaba Ludhianvi)

Fatwa Alamgiri (Al-Fatawa al-Hindiya) mein hai 🙂

Dalail:

“إذا بقيت لقمة السحور في فيه فطلع الفجر … وإن أخرجها … لا كفارة عليه، وهو الصحيح كذا في فتاوى قاضي خان”.

(کتاب الصوم، الباب الرابع فيما يفسد وما لا يفسد، النوع الأول ما يوجب القضاء دون الكفارة، ج:1، ص:203، ط:مکتبہ رشیدیہ)

Faqt Wallaho Aallmuo.

Fatwa No: 144409101636
Fatwa Center: Darul Ifta Jamiatul Uloom Islamia Binori Town

Related Hash Tags:

#NuswaarAndSleepingDuringFasting
#RozayKaHukmSuhreeKayWaqtNuswaarLagaakarSoJaaneWalay
#ImportanceOfAvoidingNuswaarDuringFasting
#SleepingAfterUsingNuswaarDuringFasting
#NuswaarAndItsEffectsOnFasting
#SuhreeKayWaqtNuswaarLagaakarSoJaaneWalayRozay
#NuswaarUseAndFastingGuidelines
#AvoidNuswaarBeforeSleepingDuringFasting
#RozayKaHukmSuhreeKayWaqtNuswaarLagaakarSoJaaneWalayKa
#NuswaarAndItsImpactOnFasting

Same Searcheing queries:
Suhree kay waqt nuswaar lagaakar so jaane waalay kay rozay kaa hukm:

1. Nuswaar istemal karne kay asbaab aur rozay ki ahmiyat
2. Nuswaar lagaakar sonay kay masail aur rozay ki sharai haisiyat
3. Suhree kay waqt nuswaar istemal karne kay nuksanat aur rozay ki fazilat
4. Nuswaar ka rozay kay saath talluq aur sharai tashreeh
5. Suhree kay waqt nuswaar lagaane walay kay rozay kaa hukm
6. Nuswaar kay istemal kay doran rozay ki sharaiyaat aur masail