Join Whatsapp Group Join NOW
Sawal: Mein para medical field mein research kar raha hoon, kabhi kabhar mere rafiq kar ko bator namuna khoon ki zaroorat parti hai kuch naye chemical ki jaanch ke liye. To kya mein us ke liye apna khoon de sakta hoon? Ya woh khud apne khoon ka istemaal kar sakta hai? Barah-e-karam, jawab dein.
Jawab:
Chemical ke asar ki jaanch ke liye, pehle yahi koshish ki jaye ke insaani khoon ke bajaye janwaron ka khoon ya koi doosra madah istemaal ho,
agar janwaron ka khoon ya doosra madah kisi tarah bhi uske liye kaaramad na ho toh aap apne khoon ke chand qatray bhi bila muavza us maqsad ke liye de sakte hain, muavza ke saath nahi.
Neez aap ka rafiq kar bhi majboori ki surat mein baqd-e-zarurat apna khoon us maqsad ke liye istemaal kar sakta hai.
Faqt Wallaho Aallmuo.
Ref: Darul ifta Darul Uloom Deoband India
Fatwa: 840-778/SN=8/1437
Topic: #Zaroorat Par Namuna Khoon Dena #Khoon Dena Zaroorat Par Bator Namuna #insani khuoon dena #Zaroorat Ke Waqt Khoon Dena #Khoon Dena Kisi Ki Madad #Zaroorat Ke Waqt Insani khuoon dena